Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jis ko jaisa bhi hai darkar use waisa mil jae

Farhat Ehsas

jis ko jaisa bhi hai darkar use waisa mil jae

Farhat Ehsas

jis ko jaisā bhī hai darkār use vaisā mil jaa.e

mayassar ho mujhe aur tujhe duniyā mil jaa.e

sañg se sañg ke Takrāne manzar dekhūñ

kabhī aisā ho ki tujh ko koī tujh mil jaa.e

ye dhaḌaktā huā dil us ke havāle kar duuñ

ek bhī shaḳhs agar shahr meñ zinda mil jaa.e

saḳht sardī meñ ThiThurtī hai bahut ruuh mirī

jism-e-yār aa ki bechārī ko sahārā mil jaa.e

shahr bhiiḌ mujhe terā bulāvā manzūr

shart ye hai mirā khoyā huā sahrā mil jaa.e

ḳhudā hai to mujhe kufr meñ mustahkam kar

ki mujhe rāz-e-sanam-ḳhāna-e-duniyā mil jaa.e

ham to bas dhuup shiddat meñ kamī chāhte haiñ

kab kahā hai ki kahīñ raah meñ saayā mil jaa.e

apne ā.īna-e-tauhīd meñ allāh-miyāñ

dekhte rahiye koī aap jaisā mil jaa.e

fasl-e-sher aa.ī hai bāzār-e-suḳhan meñ dekh aao

farhat-ehsās bhī shāyad koī taaza mil jaa.e

jis ko jaisa bhi hai darkar use waisa mil jae

tu mayassar ho mujhe aur tujhe duniya mil jae

sang se sang ke Takrane ka manzar dekhun

kabhi aisa ho ki tujh ko koi tujh sa mil jae

ye dhaDakta hua dil us ke hawale kar dun

ek bhi shaKHs agar shahr mein zinda mil jae

saKHt sardi mein ThiThurti hai bahut ruh meri

jism-e-yar aa ki bechaari ko sahaara mil jae

shahr ki bhiD mujhe tera bulawa manzur

shart ye hai mera khoya hua sahra mil jae

tu KHuda hai to mujhe kufr mein mustahkam kar

ki mujhe raaz-e-sanam-KHana-e-duniya mil jae

hum to bas dhup ki shiddat mein kami chahte hain

kab kaha hai ki kahin rah mein saya mil jae

apne aaina-e-tauhid mein allah-miyan

dekhte rahiye koi aap hi jaisa mil jae

fasl-e-sher aai hai bazar-e-suKHan mein dekh aao

farhat-ehsas bhi shayad koi taza mil jae

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now