jism shoala hai jabhi jama-e-sada pahna
jism sho.ala hai jabhī jāma-e-sāda pahnā
mere sūraj ne bhī bādal kā labāda pahnā
silvaTeñ haiñ mire chehre pe to hairat kyuuñ hai
zindagī ne mujhe kuchh tum se ziyāda pahnā
ḳhvāhisheñ yuuñ hī barahna hoñ to jal-bujhtī haiñ
apnī chāhat ko kabhī koī irāda pahnā
yaar ḳhush haiñ ki unheñ jāma-e-ehrām milā
log hañste haiñ ki qāmat se ziyāda pahnā
yār-e-paimāñ-shikan aa.e agar ab ke to use
koī zanjīr-e-vafā ai shab-e-va.ada pahnā
ġhairat-e-ishq to maane thī magar maiñ ne 'farāz'
dost kā tauq sar-e-mahfil-e-ādā pahnā
jism shoala hai jabhi jama-e-sada pahna
mere suraj ne bhi baadal ka labaada pahna
silwaTen hain mere chehre pe to hairat kyun hai
zindagi ne mujhe kuchh tum se ziyaada pahna
KHwahishen yun hi barahna hon to jal-bujhti hain
apni chahat ko kabhi koi irada pahna
yar KHush hain ki unhen jama-e-ehram mila
log hanste hain ki qamat se ziyaada pahna
yar-e-paiman-shikan aae agar ab ke to use
koi zanjir-e-wafa ai shab-e-wada pahna
ghairat-e-ishq to mane thi magar main ne 'faraaz'
dost ka tauq sar-e-mahfil-e-ada pahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.