Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo charagh sare bujha chuke unhen intizar kahan raha

Ada Jafarey

jo charagh sare bujha chuke unhen intizar kahan raha

Ada Jafarey

jo charāġh saare bujhā chuke unheñ intizār kahāñ rahā

ye sukūñ daur-e-shadīd hai koī be-qarār kahāñ rahā

jo duā ko haath uThā.e bhī to murād yaad na aa sakī

kisī kārvāñ jo zikr thā vo pas-e-ġhubār kahāñ rahā

ye tulū-e-roz-e-malāl hai so gila bhī kis se kareñge ham

koī dilrubā koī dil-shikan koī dil-figār kahāñ rahā

koī baat ḳhvāb-o-ḳhayāl jo karo to vaqt kaTegā ab

hameñ mausamoñ ke mizāj par koī e'tibār kahāñ rahā

hameñ kū-ba-kū jo liye phirī kisī naqsh-e-pā talāsh thī

koī āftāb thā zau-fagan sar-e-rahguzār kahāñ rahā

magar ek dhun to lagī rahī na ye dil dukhā na gila huā

ki nigah ko rañg-e-bahār par koī iḳhtiyār kahāñ rahā

sar-e-dasht rahā tishna-lab jise zindagī talāsh thī

jise zindagī talāsh thī lab-e-jūebār kahāñ rahā

jo charagh sare bujha chuke unhen intizar kahan raha

ye sukun ka daur-e-shadid hai koi be-qarar kahan raha

jo dua ko hath uThae bhi to murad yaad na aa saki

kisi karwan ka jo zikr tha wo pas-e-ghubar kahan raha

ye tulu-e-roz-e-malal hai so gila bhi kis se karenge hum

koi dilruba koi dil-shikan koi dil-figar kahan raha

koi baat KHwab-o-KHayal ki jo karo to waqt kaTega ab

hamein mausamon ke mizaj par koi e'tibar kahan raha

hamein ku-ba-ku jo liye phiri kisi naqsh-e-pa ki talash thi

koi aaftab tha zau-fagan sar-e-rahguzar kahan raha

magar ek dhun to lagi rahi na ye dil dukha na gila hua

ki nigah ko rang-e-bahaar par koi iKHtiyar kahan raha

sar-e-dasht hi raha tishna-lab jise zindagi ki talash thi

jise zindagi ki talash thi lab-e-juebar kahan raha

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now