Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo hum aae to botal kyun alag pir-e-mughan rakh di

Riyaz Khairabadi

jo hum aae to botal kyun alag pir-e-mughan rakh di

Riyaz Khairabadi

jo ham aa.e to botal kyuuñ alag pīr-e-muġhāñ rakh

purānī dostī bhī taaq par ai mehrbāñ rakh

qafas meñ shāḳh-e-gul sayyād ne ai āsmāñ rakh

banā kar shāḳh-e-gul haañ terī shāḳh-e-kahkashāñ rakh

ye kaisī aag bhar kar jaam meñ pīr-e-muġhāñ rakh

jo toḌī mehr-e-sāġhar se to kuchh uTThā dhuāñ rakh

zarā chheḌā jo us ne ho ga.ī aisī za-ḳhud-rafta

ki sham'-e-bazm ne gul-gīr ke lab par zabāñ rakh

ḳhudā ke haath hai biknā na biknā mai ai saaqī

barābar masjid-e-jāme ke ham ne ab dukāñ rakh

chaman lutf aatā hai mujhe sayyād ke sadqe

qafas meñ ke us ne aaj shāḳh-e-āshiyāñ rakh

binā hai ek donoñ kā'ba ho ki but-ḳhāna

uThā kar ḳhisht-e-ḳhum maiñ ne vahāñ rakh yahāñ rakh

ye qais-o-kohkan ke se fasāne ban ga.e kitne

kisī ne TukḌe TukḌe sab hamārī dāstāñ rakh

ta'ayyun se munazzah shoḳhiyāñ haiñ us ke jalve

hamārī vus.at-e-dil meñ banā-e-lā-makāñ rakh

nazar muddat se thī ai shaiḳh jis par mai-faroshoñ

vo dastār-e-fazīlat rehn ham ne mehrbāñ rakh

ye kyā thā jalva un dekhnā thā ham ko parde meñ

lagā kar aañkh se ham ne jo tasvīr-e-butāñ rakh

ye 'ālam hai 'riyāz' ek ek qatre ko tarastā huuñ

haram meñ ab bharī botal ḳhudā jaane kahāñ rakh

jo hum aae to botal kyun alag pir-e-mughan rakh di

purani dosti bhi taq par ai mehrban rakh di

qafas mein shaKH-e-gul sayyaad ne ai aasman rakh di

bana kar shaKH-e-gul han teri shaKH-e-kahkashan rakh di

ye kaisi aag bhar kar jam mein pir-e-mughan rakh di

jo toDi mehr-e-saghar se to kuchh uTTha dhuan rakh di

zara chheDa jo us ne ho gai aisi za-KHud-rafta

ki sham'-e-bazm ne gul-gir ke lab par zaban rakh di

KHuda ke hath hai bikna na bikna mai ka ai saqi

barabar masjid-e-jame ke hum ne ab dukan rakh di

chaman ka lutf aata hai mujhe sayyaad ke sadqe

qafas mein la ke us ne aaj shaKH-e-ashiyan rakh di

bina hai ek hi donon ki ka'ba ho ki but-KHana

uTha kar KHisht-e-KHum main ne wahan rakh di yahan rakh di

ye qais-o-kohkan ke se fasane ban gae kitne

kisi ne TukDe TukDe sab hamari dastan rakh di

ta'ayyun se munazzah shoKHiyan hain us ke jalwe ki

hamari wusat-e-dil mein bana-e-la-makan rakh di

nazar muddat se thi ai shaiKH jis par mai-faroshon ki

wo dastar-e-fazilat rehn hum ne mehrban rakh di

ye kya tha jalwa un ka dekhna tha hum ko parde mein

laga kar aankh se hum ne jo taswir-e-butan rakh di

ye 'alam hai 'riyaz' ek ek qatre ko tarasta hun

haram mein ab bhari botal KHuda jaane kahan rakh di

Source :
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now