jo kal hairan the un ko pareshan kar ke chhoDunga
jo kal hairān the un ko pareshāñ kar ke chhoḌūñgā
maiñ ab ā.īna-e-hastī ko hairāñ kar ke chhoḌūñgā
dikhā dūñgā tamāshā dī agar fursat zamāne ne
tamāshā-e-farāvāñ ko farāvāñ kar ke chhoḌūñgā
kiyā thā ishq ne tārāj jis sehn-e-gulistāñ ko
maiñ ab us par mohabbat ko nigahbāñ kar ke chhoḌūñgā
ayaañ hai jo har ik zarre meñ har ḳhurshīd meñ 'ajmal'
maiñ us parda-nashīñ ko ab numāyāñ kar ke chhoḌūñgā
jo kal hairan the un ko pareshan kar ke chhoDunga
main ab aaina-e-hasti ko hairan kar ke chhoDunga
dikha dunga tamasha di agar fursat zamane ne
tamasha-e-farawan ko farawan kar ke chhoDunga
kiya tha ishq ne taraj jis sehn-e-gulistan ko
main ab us par mohabbat ko nigahban kar ke chhoDunga
ayan hai jo har ek zarre mein har KHurshid mein 'ajmal'
main us parda-nashin ko ab numayan kar ke chhoDunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.