Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo mujhko dekh ke kal raat ro paDa tha bahut

Akhtar Hoshiyarpuri

jo mujhko dekh ke kal raat ro paDa tha bahut

Akhtar Hoshiyarpuri

MORE BYAkhtar Hoshiyarpuri

    jo mujh ko dekh ke kal raat ro paḌā thā bahut

    vo merā kuchh bhī na thā phir bhī āshnā thā bahut

    maiñ ab bhī raat ga.e us guuñj suntā huuñ

    vo harf kam thā bahut kam magar sadā thā bahut

    zamīñ ke siine meñ sūraj kahāñ se utre haiñ

    falak pe duur koī baiThā sochtā thā bahut

    mujhe jo dekhā to kāġhaz ko purze purze kiyā

    vo apnī shakl ke ḳhāke banā rahā thā bahut

    maiñ apne haath se niklā to phir kahīñ na milā

    zamāna mere ta.āqub meñ bhī gayā thā bahut

    shikast-o-reḳht badan ab apne bas meñ nahīñ

    use batā.ūñ ki vo ramz-āshnā thā bahut

    bisāt us ne ulaT na jaane soch ke kyā

    abhī to logoñ meñ jiine hauslā thā bahut

    ajab sharīk-e-safar thā ki jab paḌāv kiyā

    vo mere paas na Thahrā magar rukā thā bahut

    sehr ke chāk-e-garebāñ ko dekhne ke liye

    vo shaḳhs sub.h talak shab ko jāgtā thā bahut

    vo kam-suḳhan thā magar aisā kam-suḳhan bhī na thā

    ki sach boltā thā jab bhī boltā thā bahut

    havā ke lams se chehre pe phuul khilte the

    vo chāñdnī badan mauja-e-sabā thā bahut

    pas-e-darīcha do āñkheñ chamaktī rahtī thiiñ

    ki us ko niiñd meñ chalne āriza thā bahut

    kahāniyoñ fazā bhī use thī raas 'aḳhtar'

    haqīqatoñ se bhī ohda-bar-ā huā thā bahut

    jo mujh ko dekh ke kal raat ro paDa tha bahut

    wo mera kuchh bhi na tha phir bhi aashna tha bahut

    main ab bhi raat gae us ki gunj sunta hun

    wo harf kam tha bahut kam magar sada tha bahut

    zamin ke sine mein suraj kahan se utre hain

    falak pe dur koi baiTha sochta tha bahut

    mujhe jo dekha to kaghaz ko purze purze kiya

    wo apni shakl ke KHake bana raha tha bahut

    main apne hath se nikla to phir kahin na mila

    zamana mere taaqub mein bhi gaya tha bahut

    shikast-o-reKHt badan ki ab apne bas mein nahin

    use bataun ki wo ramz-ashna tha bahut

    bisat us ne ulaT di na jaane soch ke kya

    abhi to logon mein jine ka hausla tha bahut

    ajab sharik-e-safar tha ki jab paDaw kiya

    wo mere pas na Thahra magar ruka tha bahut

    sehr ke chaak-e-gareban ko dekhne ke liye

    wo shaKHs subh talak shab ko jagta tha bahut

    wo kam-suKHan tha magar aisa kam-suKHan bhi na tha

    ki sach hi bolta tha jab bhi bolta tha bahut

    hawa ke lams se chehre pe phul khilte the

    wo chandni sa badan mauja-e-saba tha bahut

    pas-e-daricha do aankhen chamakti rahti thin

    ki us ko nind mein chalne ka aariza tha bahut

    kahaniyon ki faza bhi use thi ras 'aKHtar'

    haqiqaton se bhi ohda-bar-a hua tha bahut

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now