jo naseh mere aage bakne laga
jo nāseh mire aage bakne lagā
maiñ kyā kartā muñh us kā takne lagā
mohabbat kā tum se asar kyā kahūñ
nazar mil ga.ī dil dhaḌakne lagā
badan chhū gayā aag sī lag uThī
nazar mil ga.ī dil dhaḌakne lagā
raqīboñ ne pahlū dabāyā to chup
maiñ baiThā to zālim sarakne lagā
jo mahfil meñ 'akbar' ne kholī zabāñ
gulistāñ meñ bulbul chahakne lagā
jo naseh mere aage bakne laga
main kya karta munh us ka takne laga
mohabbat ka tum se asar kya kahun
nazar mil gai dil dhaDakne laga
badan chhu gaya aag si lag uThi
nazar mil gai dil dhaDakne laga
raqibon ne pahlu dabaya to chup
main baiTha to zalim sarakne laga
jo mahfil mein 'akbar' ne kholi zaban
gulistan mein bulbul chahakne laga
- Book : ہنگامہ ہے کیوں برپا (Pg. 47)
- Author : اکبر الہ آبادی
- Publication : ریختہ بکس (2023)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.