Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rasta bhi kaThin dhup mein shiddat bhi bahut thi

Parveen Shakir

rasta bhi kaThin dhup mein shiddat bhi bahut thi

Parveen Shakir

MORE BYParveen Shakir

    rasta bhī kaThin dhuup meñ shiddat bhī bahut thī

    saa.e se magar us ko mohabbat bhī bahut thī

    ḳheme na koī mere musāfir ke jalā.e

    zaḳhmī thā bahut paañv masāfat bhī bahut thī

    sab dost mire muntazir-e-parda-e-shab the

    din meñ to safar karne meñ diqqat bhī bahut thī

    bārish duāoñ meñ namī aañkh mil jaa.e

    jazbe kabhī itnī rifāqat bhī bahut thī

    kuchh to tire mausam mujhe raas kam aa.e

    aur kuchh mirī miTTī meñ baġhāvat bhī bahut thī

    phūloñ bikharnā to muqaddar thā lekin

    kuchh is meñ havāoñ siyāsat bhī bahut thī

    vo bhī sar-e-maqtal hai ki sach jis thā shāhid

    aur vāqif-e-ahvāl-e-adālat bhī bahut thī

    is tark-e-rifāqat pe pareshāñ to huuñ lekin

    ab tak ke tire saath pe hairat bhī bahut thī

    ḳhush aa.e tujhe shahr-e-munāfiq amīrī

    ham logoñ ko sach kahne aadat bhī bahut thī

    rasta bhi kaThin dhup mein shiddat bhi bahut thi

    sae se magar us ko mohabbat bhi bahut thi

    KHeme na koi mere musafir ke jalae

    zaKHmi tha bahut panw masafat bhi bahut thi

    sab dost mere muntazir-e-parda-e-shab the

    din mein to safar karne mein diqqat bhi bahut thi

    barish ki duaon mein nami aankh ki mil jae

    jazbe ki kabhi itni rifaqat bhi bahut thi

    kuchh to tere mausam hi mujhe ras kam aae

    aur kuchh meri miTTi mein baghawat bhi bahut thi

    phulon ka bikharna to muqaddar hi tha lekin

    kuchh is mein hawaon ki siyasat bhi bahut thi

    wo bhi sar-e-maqtal hai ki sach jis ka tha shahid

    aur waqif-e-ahwal-e-adalat bhi bahut thi

    is tark-e-rifaqat pe pareshan to hun lekin

    ab tak ke tere sath pe hairat bhi bahut thi

    KHush aae tujhe shahr-e-munafiq ki amiri

    hum logon ko sach kahne ki aadat bhi bahut thi

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Unknown

    Unknown

    Source :
    • Book : kulliyaat-e-maahe tamaam(sadbarg) (Pg. 127)

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now