Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

junun se guzarne ko ji chahta hai

Shakeel Badayuni

junun se guzarne ko ji chahta hai

Shakeel Badayuni

MORE BYShakeel Badayuni

    junūñ se guzarne ko chāhtā hai

    hañsī zabt karne ko chāhtā hai

    jahāñ ishq meñ Duub kar rah ga.e haiñ

    vahīñ phir ubharne ko chāhtā hai

    vo ham se ḳhafā haiñ ham un se ḳhafā haiñ

    magar baat karne ko chāhtā hai

    hai muddat se be-rañg naqsh-e-mohabbat

    koī rañg bharne ko chāhtā hai

    ba-īñ ḳhud-sarī vo ġhurūr-e-mohabbat

    unheñ sajda karne ko chāhtā hai

    qazā muzhda-e-zindagī le ke aa.e

    kuchh is tarah marne ko chāhtā hai

    nizām-e-do-ālam ho ḳhair yā-rab

    phir ik aah karne ko chāhtā hai

    gunāh-e-mukarrar 'shakīl' allāh allāh

    bigaḌ kar sañvarne ko chāhtā hai

    junun se guzarne ko ji chahta hai

    hansi zabt karne ko ji chahta hai

    jahan ishq mein Dub kar rah gae hain

    wahin phir ubharne ko ji chahta hai

    wo hum se KHafa hain hum un se KHafa hain

    magar baat karne ko ji chahta hai

    hai muddat se be-rang naqsh-e-mohabbat

    koi rang bharne ko ji chahta hai

    ba-in KHud-sari wo ghurur-e-mohabbat

    unhen sajda karne ko ji chahta hai

    qaza muzhda-e-zindagi le ke aae

    kuchh is tarah marne ko ji chahta hai

    nizam-e-do-alam ki ho KHair ya-rab

    phir ek aah karne ko ji chahta hai

    gunah-e-mukarrar 'shakil' allah allah

    bigaD kar sanwarne ko ji chahta hai

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    junun se guzarne ko ji chahta hai Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now