Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is waste adam ki manzil ko DhunDte hain

Nazm Tabatabai

is waste adam ki manzil ko DhunDte hain

Nazm Tabatabai

MORE BYNazm Tabatabai

    is vāste adam manzil ko DhūñDte haiñ

    muddat se dostoñ mahfil ko DhūñDte haiñ

    ye dil ke paar ho kar phir dil ko DhūñDte haiñ

    tīr-e-nigāh us ke bismil ko DhūñDte haiñ

    ik lahr meñ na the ham kyuuñ ai habāb dekhā

    yuuñ aañkh band kar ke sāhil ko DhūñDte haiñ

    tarz-e-karam shāhid haiñ meva-dār shāḳheñ

    is tarah sar jhukā kar saa.il ko DhūñDte haiñ

    hai vasl o hijr apnā ai qais turfa-mazmūñ

    mahmil meñ baiThe haiñ aur mahmil ko DhūñDte haiñ

    tūl-e-amal rasta mumkin nahīñ ki tai ho

    manzil pe bhī pahuñch kar manzil ko DhūñDte haiñ

    hasrat shabāb hai ayyām-e-sheb meñ bhī

    ma.adūm havas hai zaa.il ko DhūñDte haiñ

    uThte haiñ valvale kuchh har baar dard ban kar

    kyā jāniye jigar ko dil ko DhūñDte haiñ

    zaḳhm-e-jigar mere hai rashk dostoñ ko

    martā huuñ maiñ ki ye kyuuñ qātil ko DhūñDte haiñ

    ahl-e-havas kashtī yak baam o do havā hai

    dariyā-e-ishq meñ bhī sāhil ko DhūñDte haiñ

    aayā jo rahm mujh par is meñ bhī chaal hai kuchh

    siine pe haath rakh kar ab dil ko DhūñDte haiñ

    karte haiñ kār-e-farhād āsāñ zamīn meñ bhī

    mushkil-pasand haiñ ham mushkil ko DhūñDte haiñ

    ai ḳhizr pai-e-ḳhajista bahr-e-ḳhudā karam kar

    bhaTke hue musāfir manzil ko DhūñDte haiñ

    dil-ḳhvāh tere ishve dil-jū tire ishāre

    vo dil TaTolte haiñ ye dil ko DhūñDte haiñ

    ai 'nazm' kyā batā.eñ hajj-o-tavāf apnā

    ka.abe meñ bhī kisī mahmil ko DhūñDte haiñ

    is waste adam ki manzil ko DhunDte hain

    muddat se doston ki mahfil ko DhunDte hain

    ye dil ke par ho kar phir dil ko DhunDte hain

    tir-e-nigah us ke bismil ko DhunDte hain

    ek lahr mein na the hum kyun ai habab dekha

    yun aankh band kar ke sahil ko DhunDte hain

    tarz-e-karam ki shahid hain mewa-dar shaKHen

    is tarah sar jhuka kar sail ko DhunDte hain

    hai wasl o hijr apna ai qais turfa-mazmun

    mahmil mein baiThe hain aur mahmil ko DhunDte hain

    tul-e-amal ka rasta mumkin nahin ki tai ho

    manzil pe bhi pahunch kar manzil ko DhunDte hain

    hasrat shabab ki hai ayyam-e-sheb mein bhi

    madum ki hawas hai zail ko DhunDte hain

    uThte hain walwale kuchh har bar dard ban kar

    kya jaaniye jigar ko ya dil ko DhunDte hain

    zaKHm-e-jigar ka mere hai rashk doston ko

    marta hun main ki ye kyun qatil ko DhunDte hain

    ahl-e-hawas ki kashti yak baam o do hawa hai

    dariya-e-ishq mein bhi sahil ko DhunDte hain

    aaya jo rahm mujh par is mein bhi chaal hai kuchh

    sine pe hath rakh kar ab dil ko DhunDte hain

    karte hain kar-e-farhad aasan zamin mein bhi

    mushkil-pasand hain hum mushkil ko DhunDte hain

    ai KHizr pai-e-KHajista bahr-e-KHuda karam kar

    bhaTke hue musafir manzil ko DhunDte hain

    dil-KHwah tere ishwe dil-ju tere ishaare

    wo dil TaTolte hain ye dil ko DhunDte hain

    ai 'nazm' kya bataen hajj-o-tawaf apna

    kabe mein bhi kisi ki mahmil ko DhunDte hain

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now