Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kabe ki hai hawas kabhi ku-e-butan ki hai

Dagh Dehlvi

kabe ki hai hawas kabhi ku-e-butan ki hai

Dagh Dehlvi

kaabe hai havas kabhī kū-e-butāñ hai

mujh ko ḳhabar nahīñ mirī miTTī kahāñ hai

sun ke mirā fasāna unheñ lutf aa gayā

suntā huuñ ab ki roz talab qissa-ḳhvāñ hai

paiġhām-bar baat par aapas meñ ranj kyā

merī zabāñ hai na tumhārī zabāñ hai

kuchh tāzgī ho lazzat-e-āzār ke liye

har dam mujhe talāsh na.e āsmāñ hai

jāñ-bar bhī ho ga.e haiñ bahut mujh se nīm-jāñ

kyā ġham hai ai tabīb jo puurī vahāñ hai

hasrat baras rahī hai hamāre mazār par

kahte haiñ sab ye qabr kisī naujavāñ hai

vaqt-e-ḳhirām-e-nāz dikhā do judā judā

ye chaal hashr ye ravish āsmāñ hai

fursat kahāñ ki ham se kisī vaqt mile

din ġhair hai raat tire pāsbāñ hai

qāsid guftugū se tasallī ho kis tarah

chhuptī nahīñ vo baat jo terī zabāñ hai

jaur-e-raqīb o zulm-e-falak nahīñ ḳhayāl

tashvīsh ek ḳhātir-e-nā-mehrbāñ hai

sun kar mirā fasāna-e-ġham us ne ye kahā

ho jaa.e jhuuT sach yahī ḳhūbī bayāñ hai

dāman sambhāl bāñdh kamar āstīñ chaḌhā

ḳhanjar nikāl dil meñ agar imtihāñ hai

har har nafas meñ dil se nikalne lagā ġhubār

kyā jaane gard-e-rāh ye kis kārvāñ hai

kyūñki na aate ḳhuld se aadam zamīn par

mauzūñ vahīñ vo ḳhuub hai jo sunte jahāñ hai

taqdīr se ye pūchh rahā huuñ ki ishq meñ

tadbīr koī bhī sitam-e-nā-gahāñ hai

urdu hai jis naam hamīñ jānte haiñ 'dāġh'

hindostāñ meñ dhuum hamārī zabāñ hai

kabe ki hai hawas kabhi ku-e-butan ki hai

mujh ko KHabar nahin meri miTTi kahan ki hai

sun ke mera fasana unhen lutf aa gaya

sunta hun ab ki roz talab qissa-KHwan ki hai

paigham-bar ki baat par aapas mein ranj kya

meri zaban ki hai na tumhaari zaban ki hai

kuchh tazgi ho lazzat-e-azar ke liye

har dam mujhe talash nae aasman ki hai

jaan-bar bhi ho gae hain bahut mujh se nim-jaan

kya gham hai ai tabib jo puri wahan ki hai

hasrat baras rahi hai hamare mazar par

kahte hain sab ye qabr kisi naujawan ki hai

waqt-e-KHiram-e-naz dikha do juda juda

ye chaal hashr ki ye rawish aasman ki hai

fursat kahan ki hum se kisi waqt tu mile

din ghair ka hai raat tere pasban ki hai

qasid ki guftugu se tasalli ho kis tarah

chhupti nahin wo baat jo teri zaban ki hai

jaur-e-raqib o zulm-e-falak ka nahin KHayal

tashwish ek KHatir-e-na-mehrban ki hai

sun kar mera fasana-e-gham us ne ye kaha

ho jae jhuT sach yahi KHubi bayan ki hai

daman sambhaal bandh kamar aastin chaDha

KHanjar nikal dil mein agar imtihan ki hai

har har nafas mein dil se nikalne laga ghubar

kya jaane gard-e-rah ye kis karwan ki hai

kyunki na aate KHuld se aadam zamin par

mauzun wahin wo KHub hai jo sunte jahan ki hai

taqdir se ye puchh raha hun ki ishq mein

tadbir koi bhi sitam-e-na-gahan ki hai

urdu hai jis ka nam hamin jaante hain 'dagh'

hindostan mein dhum hamari zaban ki hai

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Shumona Roy Biswas

Shumona Roy Biswas

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now