kanTon mein jo phul khila hai
kāñToñ meñ jo phuul khilā hai
jab dekho hañstā rahtā hai
Daalī par ik piilā patta
jaane kyā gintā rahtā hai
sunte haiñ ik havā kā jhoñkā
ik ḳhushbū ko le bhāgā hai
bahte paanī par dīvānā
kis ko ḳhat likhtā rahtā hai
sone chāñdī kī jagmag ne
sab ko andhā kar rakkhā hai
ik chiḌiyā ke aa jaane se
saara ghar āñgan chahkā hai
kanTon mein jo phul khila hai
jab dekho hansta rahta hai
Dali par ek pila patta
jaane kya ginta rahta hai
sunte hain ek hawa ka jhonka
ek KHushbu ko le bhaga hai
bahte pani par diwana
kis ko KHat likhta rahta hai
sone chandi ki jagmag ne
sab ko andha kar rakkha hai
ek chiDiya ke aa jaane se
sara ghar aangan chahka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.