Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kabhi awwal nazar aana kabhi aaKHir hona

Zafar Iqbal

kabhi awwal nazar aana kabhi aaKHir hona

Zafar Iqbal

kabhī avval nazar aanā kabhī āḳhir honā

aur vaqfoñ se mirā ġhā.eb o hāzir honā

maiñ kisī aur zamāne ke liye huuñ shāyad

is zamāne meñ hai mushkil mirā zāhir honā

maiñ na hone pe ḳhush thā magar aise huā phir

mujh ko nā-chār paḌā aap ḳhātir honā

duur ho jā.ūñ bhī is bāġh-e-badan se lekin

kahīñ mumkin nahīñ aise manāzir honā

vāqa.ī tum ko dikhā.ī nahīñ detā huuñ

zarūrat hai tumhārī mirā munkir honā

rāsta aap banānā koī sahl nahīñ

phir usī rāste aap musāfir honā

vo maqāmāt-e-muqaddas vo tire gumbad o qaus

aur mirā aise nishānāt zaa.er honā

bādaloñ aur havāoñ meñ uḌā phirtā maiñ

kaash hotā mirī taqdīr meñ taa.ir honā

kaam niklā hai kuchh utnā ye pechīda 'zafar'

jitnā āsāñ nazar aayā mujhe shā.er honā

kabhi awwal nazar aana kabhi aaKHir hona

aur waqfon se mera ghaeb o hazir hona

main kisi aur zamane ke liye hun shayad

is zamane mein hai mushkil mera zahir hona

main na hone pe hi KHush tha magar aise hua phir

mujh ko na-chaar paDa aap ki KHatir hona

dur ho jaun bhi is bagh-e-badan se lekin

kahin mumkin hi nahin aise manazir hona

waqai tum ko dikhai hi nahin deta hun

ya zarurat hai tumhaari mera munkir hona

rasta aap banana hi koi sahl nahin

phir usi raste ka aap musafir hona

wo maqamat-e-muqaddas wo tere gumbad o qaus

aur mera aise nishanat ka zaer hona

baadalon aur hawaon mein uDa phirta main

kash hota meri taqdir mein tair hona

kaam nikla hai kuchh utna hi ye pechida 'zafar'

jitna aasan nazar aaya mujhe shaer hona

Source :
  • Book : Ghazal Ka Shor (Pg. 112)
  • Author : Zafar Iqbal
  • Publication : Rekhta Publications (2023)
  • Edition : 2nd

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now