Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kabhi kabhi arz-e-gham ki KHatir hum ek bahana bhi chahte hain

Salam Machhli shahri

kabhi kabhi arz-e-gham ki KHatir hum ek bahana bhi chahte hain

Salam Machhli shahri

kabhī kabhī arz-e-ġham ḳhātir ham ik bahānā bhī chāhte haiñ

jab āñsuoñ se bharī hoñ āñkheñ to muskurānā bhī chāhte haiñ

vo dil se tañg aa ke aaj mahfil meñ husn tamkanat ḳhātir

nazar bachānā bhī chāhte haiñ nazar milānā bhī chāhte haiñ

mazā jab aa.e ki intiqāman maiñ dil ā.īna toḌ Dālūñ

mire hāthoñ saje haiñ aur ab mujhī pe chhānā bhī chāhte haiñ

jabhī to ḳhud aaj shahr ke gul-ruḳhoñ tārīf kar rahe haiñ

vo intiḳhāb-e-nazar ko mere ab āzmānā bhī chāhte haiñ

agarche tūfān-e-rañg-o-bū sharīr lahroñ se thak chuke haiñ

magar vo dil ke na.e talātum zad meñ aanā bhī chāhte haiñ

'salām' āzād shā.erī tavīl o dushvār raah meñ ham

kabhī kabhī barbat-e-taġhazzul pe gungunā bhī chāhte haiñ

kabhi kabhi arz-e-gham ki KHatir hum ek bahana bhi chahte hain

jab aansuon se bhari hon aankhen to muskurana bhi chahte hain

wo dil se tang aa ke aaj mahfil mein husn ki tamkanat ki KHatir

nazar bachana bhi chahte hain nazar milana bhi chahte hain

maza jab aae ki intiqaman main dil ka aaina toD Dalun

mere hi hathon saje hain aur ab mujhi pe chhana bhi chahte hain

jabhi to KHud aaj shahr ke gul-ruKHon ki tarif kar rahe hain

wo intiKHab-e-nazar ko mere ab aazmana bhi chahte hain

agarche tufan-e-rang-o-bu ki sharir lahron se thak chuke hain

magar wo dil ke nae talatum ki zad mein aana bhi chahte hain

'salam' aazad shaeri ki tawil o dushwar rah mein hum

kabhi kabhi barbat-e-taghazzul pe gunguna bhi chahte hain

Source :
  • Book : Intekhab-e-Kalam Salam Machhli Shahri (Pg. 117)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now