Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kabhi zamin pe kabhi aasman pe chhae ja

Hafeez Jalandhari

kabhi zamin pe kabhi aasman pe chhae ja

Hafeez Jalandhari

MORE BYHafeez Jalandhari

    kabhī zamīñ pe kabhī āsmāñ pe chhā.e

    ujāḌne ke liye bastiyāñ basā.e

    ḳhizar saath diye qadam baḌhā.e

    fareb khaa.e hue fareb khaa.e

    tirī nazar meñ sitāre haiñ ai mire pyāre

    uḌaa.e tah-e-aflāk ḳhaak uḌaa.e

    nahīñ itāb-e-zamāna ḳhitāb ke qābil

    tirā javāb yahī hai ki muskurā.e

    anāḌiyoñ se tujhe khelnā paḌā ai dost

    sujhā sujhā ke na.ī chaal maat khaa.e

    sharāb ḳhum se diye nasha tabassum se

    kabhī nazar se kabhī jaam se pilā.e

    kabhi zamin pe kabhi aasman pe chhae ja

    ujaDne ke liye bastiyan basae ja

    KHizar ka sath diye ja qadam baDhae ja

    fareb khae hue ka fareb khae ja

    teri nazar mein sitare hain ai mere pyare

    uDae ja tah-e-aflak KHak uDae ja

    nahin itab-e-zamana KHitab ke qabil

    tera jawab yahi hai ki muskurae ja

    anaDiyon se tujhe khelna paDa ai dost

    sujha sujha ke nai chaal mat khae ja

    sharab KHum se diye ja nasha tabassum se

    kabhi nazar se kabhi jam se pilae ja

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Hafeez Jalandhari (Pg. 447)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now