kafan ki jeb bhi Khaali nahin hai
kafan kī jeb bhī ḳhālī nahīñ hai
ye bad-halī hai ḳhush-hālī nahīñ hai
to kyā ye phuul ḳhud hī khil gayā thā
jo kahtā hai koī maalī nahīñ hai
unheñ mat dekh ḳhush rahne de un ko
tirī ḳhātir ye dīvālī nahīñ hai
tirī tasvīr jhūTī hai musavvir
mire shahroñ meñ hariyālī nahīñ hai
vo ghar girne lagā hai jis kī ham ne
abhī buniyād bhī Daalī nahīñ hai
to kyā mujh ko sazā degā vo jis ne
mirī ik baat bhī Taalī nahīñ hai
tire baare meñ jab sochā to dekhā
ye raat aisī bhī ab kaalī nahīñ hai
na kar 'momin' yahāñ koī tamāshā
ye duniyā dekhne vaalī nahīñ hai
kafan ki jeb bhi KHali nahin hai
ye bad-hali hai KHush-haali nahin hai
to kya ye phul KHud hi khil gaya tha
jo kahta hai koi mali nahin hai
unhen mat dekh KHush rahne de un ko
teri KHatir ye diwali nahin hai
teri taswir jhuTi hai musawwir
mere shahron mein hariyali nahin hai
wo ghar girne laga hai jis ki hum ne
abhi buniyaad bhi Dali nahin hai
to kya mujh ko saza dega wo jis ne
meri ek baat bhi Tali nahin hai
tere bare mein jab socha to dekha
ye raat aisi bhi ab kali nahin hai
na kar 'momin' yahan koi tamasha
ye duniya dekhne wali nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.