kahan main jaun gham-e-ishq-e-raegan le kar
kahāñ maiñ jā.ūñ ġham-e-ishq-e-rā.egāñ le kar
ye apne rañj ye apnī udāsiyāñ le kar
jalā hai dil yā koī ghar ye dekhnā logo
havā.eñ phirtī haiñ chāroñ taraf dhuāñ le kar
bas ik hamārā lahū sarf-e-qatl-gāh huā
khaḌe hue the bahut apne jism o jaañ le kar
na.e gharoñ meñ na rauzan the aur na mehrābeñ
parinde lauT ga.e apne āshiyāñ le kar
samundaroñ ke safar jin ke naam likkhe the
utar ga.e vo kināroñ pe kashtiyāñ le kar
talāsh karte haiñ nau-sāḳhta makānoñ meñ
ham apne ghar ko purānī nishāniyāñ le kar
unheñ bhī sahne paḌe the azaab mausam ke
chale the apne saroñ par jo sā.ebāñ le kar
havā meñ hilte hue haath pūchhte haiñ 'zubair'
tum ab ga.e to kab aaoge chhuTTiyāñ le kar
kahan main jaun gham-e-ishq-e-raegan le kar
ye apne ranj ye apni udasiyan le kar
jala hai dil ya koi ghar ye dekhna logo
hawaen phirti hain chaaron taraf dhuan le kar
bas ek hamara lahu sarf-e-qatl-gah hua
khaDe hue the bahut apne jism o jaan le kar
nae gharon mein na rauzan the aur na mehraben
parinde lauT gae apne aashiyan le kar
samundaron ke safar jin ke nam likkhe the
utar gae wo kinaron pe kashtiyan le kar
talash karte hain nau-saKHta makanon mein
hum apne ghar ko purani nishaniyan le kar
unhen bhi sahne paDe the azab mausam ke
chale the apne saron par jo saeban le kar
hawa mein hilte hue hath puchhte hain 'zubair'
tum ab gae to kab aaoge chhuTTiyan le kar
- Book : Sang-ge-Sada (Pg. 282)
- Author : Zubair Razvi
- Publication : Zehne Jadid, New Delhi (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.