kahin se saz-e-shikasta ki phir sada aai
kahīñ se sāz-e-shikasta kī phir sadā aa.ī
bahut dinoñ meñ ik āvāz āshnā aa.ī
chalī kuchh aaj is andāz se nasīm-e-sahar
ki baar baar kisī kī sadā-e-pā aa.ī
tumhārī tal.at-e-zebā ko kar liyā sajda
nazar jahāñ bhī koī shakl-e-dilrubā aa.ī
'ajīb lutf huā un kī yaad se mahsūs
ki jaise dil ke darīche khule havā aa.ī
rah-e-hayāt meñ kāñTe bikherne vāle!
hayāt bhī tire dar tak barahna-pā aa.ī
chaman se pahle to ik sail-e-ātishīñ guzrā
phir us ke baa'd barastī huī ghaTā aa.ī
shurū'-e-'ishq meñ un se hī kuchh hijāb na thā
kabhī kabhī to ḳhud apne se bhī hayā aa.ī
ham apne hāl-e-pareshāñ pe bārhā ro.e
aur us ke baa'd hañsī ham ko bārhā aa.ī
kabhī qarīb se chheḌā jo sāz-e-jāñ ko 'ra.īs'
to gosh-e-dil meñ bahut duur kī sadā aa.ī
kahin se saz-e-shikasta ki phir sada aai
bahut dinon mein ek aawaz aashna aai
chali kuchh aaj is andaz se nasim-e-sahar
ki bar bar kisi ki sada-e-pa aai
tumhaari talat-e-zeba ko kar liya sajda
nazar jahan bhi koi shakl-e-dilruba aai
'ajib lutf hua un ki yaad se mahsus
ki jaise dil ke dariche khule hawa aai
rah-e-hayat mein kanTe bikherne wale!
hayat bhi tere dar tak barahna-pa aai
chaman se pahle to ek sail-e-atishin guzra
phir us ke ba'd barasti hui ghaTa aai
shuru'-e-'ishq mein un se hi kuchh hijab na tha
kabhi kabhi to KHud apne se bhi haya aai
hum apne haal-e-pareshan pe barha roe
aur us ke ba'd hansi hum ko barha aai
kabhi qarib se chheDa jo saz-e-jaan ko 'rais'
to gosh-e-dil mein bahut dur ki sada aai
- Book : Hikayat-e-nai (Pg. 58)
- Author : Rais Amrohvi
- Publication : Rais Acadami, Garden Est. Krachi-3 (1975)
- Edition : 1975
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.