Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kas kar bandhi gai ragon mein dil ki girah to Dhili hai

Abbas Tabish

kas kar bandhi gai ragon mein dil ki girah to Dhili hai

Abbas Tabish

MORE BYAbbas Tabish

    kas kar bāñdhī ga.ī ragoñ meñ dil girah to Dhīlī hai

    us ko dekh ke bhar aanā kitnī baḌī tabdīlī hai

    zinda rahne ḳhvāhish meñ dam dam lau de uThtā huuñ

    mujh meñ saañs ragaḌ khātī hai māchis tiilī hai

    un āñkhoñ meñ kūdne vaalo tum ko itnā dhyān rahe

    vo jhīleñ pāyāb haiñ lekin un tah pathrīlī hai

    kitnī sadiyāñ sūraj chamkā kitne dozaḳh aag jalī

    mujhe banāne vaale merī miTTī ab tak giilī hai

    zinda huuñ to mujhe batā.eñ niile hoñToñ vaale log

    merā kaisā rañg karegī baat jo maiñ ne hai

    mumkin hai ab vaqt chādar par maiñ karūñ rafū kaam

    juute maiñ ne gāñTh liye haiñ gudḌī maiñ ne hai

    kas kar bandhi gai ragon mein dil ki girah to Dhili hai

    us ko dekh ke ji bhar aana kitni baDi tabdili hai

    zinda rahne ki KHwahish mein dam dam lau de uThta hun

    mujh mein sans ragaD khati hai ya machis ki tili hai

    un aankhon mein kudne walo tum ko itna dhyan rahe

    wo jhilen payab hain lekin un ki tah pathrili hai

    kitni sadiyan suraj chamka kitne dozaKH aag jali

    mujhe banane wale meri miTTi ab tak gili hai

    zinda hun to mujhe bataen nile honTon wale log

    mera kaisa rang karegi baat jo main ne pi li hai

    mumkin hai ab waqt ki chadar par main karun rafu ka kaam

    jute main ne ganTh liye hain gudDi main ne si li hai

    Source :
    • Book : Ishq Abaad (kulliyat) (Pg. 411)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now