Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kashti chala raha hai magar kis ada ke sath

Abdul Hamid Adam

kashti chala raha hai magar kis ada ke sath

Abdul Hamid Adam

MORE BYAbdul Hamid Adam

    kashtī chalā rahā hai magar kis adā ke saath

    ham bhī na Duub jaa.eñ kahīñ nā-ḳhudā ke saath

    dil talab paḌī hai to aayā hai yaad ab

    vo to chalā gayā thā kisī dilrubā ke saath

    jab se chalī hai aadam o yazdāñ dāstāñ

    har bā-vafā rabt hai ik bevafā ke saath

    mehmān mezbāñ ko bahkā ke le uḌā

    ḳhushbū-e-gul bhī ghuum rahī hai sabā ke saath

    pīr-e-muġhāñ se ham ko koī bair to nahīñ

    thoḌā iḳhtilāf hai mard-e-ḳhudā ke saath

    shaiḳh aur bahisht kitne ta.ajjub baat hai

    yā-rab ye zulm ḳhuld āb-o-havā ke saath

    paḌhtā namāz maiñ bhī huuñ par ittifāq se

    uThtā huuñ nisf raat ko dil sadā ke saath

    mahshar ḳhair kuchh bhī natīja ho ai 'adam'

    kuchh guftugū to khul ke kareñge ḳhudā ke saath

    kashti chala raha hai magar kis ada ke sath

    hum bhi na Dub jaen kahin na-KHuda ke sath

    dil ki talab paDi hai to aaya hai yaad ab

    wo to chala gaya tha kisi dilruba ke sath

    jab se chali hai aadam o yazdan ki dastan

    har ba-wafa ka rabt hai ek bewafa ke sath

    mehman mezban hi ko bahka ke le uDa

    KHushbu-e-gul bhi ghum rahi hai saba ke sath

    pir-e-mughan se hum ko koi bair to nahin

    thoDa sa iKHtilaf hai mard-e-KHuda ke sath

    shaiKH aur bahisht kitne tajjub ki baat hai

    ya-rab ye zulm KHuld ki aab-o-hawa ke sath

    paDhta namaz main bhi hun par ittifaq se

    uThta hun nisf raat ko dil ki sada ke sath

    mahshar ka KHair kuchh bhi natija ho ai 'adam'

    kuchh guftugu to khul ke karenge KHuda ke sath

    Source :
    • Book : Adam ki behtareen ghazlein (Pg. 56)

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now