Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaun dekhega bhala is mein hai ruswai kya

Jurat Qalandar Bakhsh

kaun dekhega bhala is mein hai ruswai kya

Jurat Qalandar Bakhsh

kaun dekhegā bhalā is meñ hai rusvā.ī kyā

ḳhvāb meñ aane bhī tum ne qasam khaa.ī kyā

us ghar chhoḌ ke ham to na kisī dar pe ga.e

par samajhtā hai use vo but-e-harjā.ī kyā

sunte jis ke huī jaan havā tan se mire

is galī se ye ḳhabar bād-e-sabā laa.ī kyā

vaah maiñ aur na aane ko kahūñgā tauba

maiñ to hairāñ huuñ ye baat aap ne farmā.ī kyā

bah chalā chashm se yakbār jo ik dariyā

baiThe baiThe mujhe kyā jaane ye lahr aa.ī kyā

harf-e-matlab ko mire sun ke ba-sad-nāz kahā

ham samajhte nahīñ baktā hai to saudā.ī kyā

shaiḳh-jī ham to haiñ nādāñ par use aane do

ham bhī pūchheñge huī aap dānā.ī kyā

kaifiyat mahfil-e-ḳhūbāñ na us bin pūchho

us ko dekhūñ na to phir de mujhe dikhlā.ī kyā

aaj dam apnā Thahartā nahīñ kyā jāniye aah

maslahat logoñ ne vaañ baiTh ke Thahrā.ī kyā

bar meñ vo shoḳh thā aur sair-e-shab-e-māh thī raat

apne ghar kyā kaheñ thī anjuman-ārā.ī kyā

par gayā sub.h se vo ghar to yahī dhaḌkā hai

dekheñ aaj us evaz le shab-e-tanhā.ī kyā

dekhne jo karūñ us ke maiñ da.avā 'jur.at'

mujh meñ jur.at ye kahāñ aur mirī bīnā.ī kyā

kaun dekhega bhala is mein hai ruswai kya

KHwab mein aane ki bhi tum ne qasam khai kya

us ka ghar chhoD ke hum to na kisi dar pe gae

par samajhta hai use wo but-e-harjai kya

sunte hi jis ke hui jaan hawa tan se mere

is gali se ye KHabar baad-e-saba lai kya

wah main aur na aane ko kahunga tauba

main to hairan hun ye baat aap ne farmai kya

bah chala chashm se yakbar jo ek dariya sa

baiThe baiThe mujhe kya jaane ye lahr aai kya

harf-e-matlab ko mere sun ke ba-sad-naz kaha

hum samajhte nahin bakta hai to saudai kya

shaiKH-ji hum to hain nadan par use aane do

hum bhi puchhenge hui aap ki danai kya

kaifiyat mahfil-e-KHuban ki na us bin puchho

us ko dekhun na to phir de mujhe dikhlai kya

aaj dam apna Thaharta nahin kya jaaniye aah

maslahat logon ne wan baiTh ke Thahrai kya

bar mein wo shoKH tha aur sair-e-shab-e-mah thi raat

apne ghar kya kahen thi anjuman-arai kya

par gaya subh se wo ghar to yahi dhaDka hai

dekhen aaj us ka ewaz le shab-e-tanhai kya

dekhne ka jo karun us ke main dawa 'jurat'

mujh mein jurat ye kahan aur meri binai kya

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now