kaun samjhe ishq ki dushwariyan
kaun samjhe 'ishq kī dushvāriyāñ
ik junūñ aur laakh zimmedāriyāñ
ehtimām-e-zindagi-e-ishq dekh
roz mar jaane kī haiñ tayyāriyāñ
'ishq kā ġham vo bhī tere 'ishq kā
kaun kar saktā mirī ġham-ḳhvāriyāñ
be-ḳhūdī-e-ishq jaise ġham kī niind
ġham kī nīñdeñ ruuh kī bedāriyāñ
'ishq bhī hai kis qadar bar-ḳhud-ġhalat
un kī bazm-e-nāz aur ḳhuddāriyāñ
is mohabbat us javānī kī qasam
phir na ye nīñdeñ na ye bedāriyāñ
ye niyāz-e-ārzūmandī na dekh
aur kuchh haiñ 'ishq kī ḳhuddāriyāñ
iḳhtilāj-e-qalb ke daure nahīñ
'ishq kī 'bismil' haiñ dil-āzāriyāñ
kaun samjhe 'ishq ki dushwariyan
ek junun aur lakh zimmedariyan
ehtimam-e-zindagi-e-ishq dekh
roz mar jaane ki hain tayyariyan
'ishq ka gham wo bhi tere 'ishq ka
kaun kar sakta meri gham-KHwariyan
be-KHudi-e-ishq jaise gham ki nind
gham ki ninden ruh ki bedariyan
'ishq bhi hai kis qadar bar-KHud-ghalat
un ki bazm-e-naz aur KHuddariyan
is mohabbat us jawani ki qasam
phir na ye ninden na ye bedariyan
ye niyaz-e-arzumandi na dekh
aur kuchh hain 'ishq ki KHuddariyan
iKHtilaj-e-qalb ke daure nahin
'ishq ki 'bismil' hain dil-azariyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.