kaun tha uske hawa-KHwahon mein jo shamil na tha
kaun thā us ke havā-ḳhvāhoñ meñ jo shāmil na thā
ab huā mālūm mujh ko dil bhī merā dil na thā
ishq kī betābiyoñ par husn ko rahm aa gayā
jab nigāh-e-shauq taḌpī parda-e-mahmil na thā
thiiñ nigāh-e-shauq kī rañgīniyāñ chhā.ī huī
parda-e-mahmil uThā to sāhib-e-mahmil na thā
qahr hai thoḌī sī bhī ġhaflat tarīq-e-ishq meñ
aañkh jhapkī qais kī aur sāmne mahmil na thā
kaun tha us ke hawa-KHwahon mein jo shamil na tha
ab hua malum mujh ko dil bhi mera dil na tha
ishq ki betabiyon par husn ko rahm aa gaya
jab nigah-e-shauq taDpi parda-e-mahmil na tha
thin nigah-e-shauq ki ranginiyan chhai hui
parda-e-mahmil uTha to sahib-e-mahmil na tha
qahr hai thoDi si bhi ghaflat tariq-e-ishq mein
aankh jhapki qais ki aur samne mahmil na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.