Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHamosh the tum aur bolta tha bas ek sitara aankhon mein

Ghulam Mohammad Qasir

KHamosh the tum aur bolta tha bas ek sitara aankhon mein

Ghulam Mohammad Qasir

ḳhāmosh the tum aur boltā thā bas ek sitāra āñkhoñ meñ

maiñ kaise na ruktā chalne lagā jab surḳh ishāra āñkhoñ meñ

manzar meñ kināroñ se bāhar dariyā-e-mohabbat bahtā hai

aur pas-manzar meñ niile se āñchal kinārā āñkhoñ meñ

har saal bahār se pahle maiñ paanī par phuul banātā huuñ

phir chāroñ mausam likh jaate haiñ naam tumhārā āñkhoñ meñ

ab kahne vaale kahte haiñ is shahr meñ raat nahīñ hotī

ik aisā din thā vo chehra jab maiñ ne utārā āñkhoñ meñ

sochā hai tumhārī āñkhoñ se ab maiñ un ko milvā duuñ

kuchh ḳhvāb jo DhūñDte phirte haiñ jiine sahārā āñkhoñ meñ

KHamosh the tum aur bolta tha bas ek sitara aankhon mein

main kaise na rukta chalne laga jab surKH ishaara aankhon mein

manzar mein kinaron se bahar dariya-e-mohabbat bahta hai

aur pas-manzar mein nile se aanchal ka kinara aankhon mein

har sal bahaar se pahle main pani par phul banata hun

phir chaaron mausam likh jate hain nam tumhaara aankhon mein

ab kahne wale kahte hain is shahr mein raat nahin hoti

ek aisa hi din tha wo chehra jab main ne utara aankhon mein

socha hai tumhaari aankhon se ab main un ko milwa hi dun

kuchh KHwab jo DhunDte phirte hain jine ka sahaara aankhon mein

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

KHamosh the tum aur bolta tha bas ek sitara aankhon mein Nomaan Shauque

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now