KHair ka tujhko yaqin hai aur usko shar ka hai
ḳhair kā tujh ko yaqīñ hai aur us ko shar kā hai
donoñ haq par haiñ ki jhagḌā sirf pas-manzar kā hai
āñsuoñ se tū hai ḳhālī dard se 'aarī huuñ maiñ
terī āñkheñ kāñch kī haiñ merā dil patthar kā hai
kaun dafnātā use vo ik barahna laash thī
sab ne pūchhā kaun hai vo kaun se lashkar kā hai
tū sukūñ se thak gayā hai aur betābī se maiñ
shauq hai tujh ko safar kā aur mujh ko ghar kā hai
ek paudā sahn meñ thā dhuup khā kar jal gayā
sirf merā hī nahīñ hai ranj ye ghar bhar kā hai
sochtā rahtā huuñ maiñ terī uḌāneñ dekh kar
ye havā kā zor hai yā tere bāl-o-par kā hai
ek būḌhe ne kiyā asr-e-ravāñ pe tabsira
ye zamāna aadmī kā hai ki zor-o-zar kā hai
maiñ ne sīñchā hai lahū se is dil-e-sar-sabz ko
'umr bhar se ye 'ilāqa merī chashm-e-tar kā hai
maiñ simaT kar leTtā huuñ bistar-e-idrāk par
paañv phailā.ūñ to andesha mujhe chādar kā hai
is masāfat kā mudāvā tujh se bhī mumkin nahīñ
zaḳhm-e-dil se kuchh ziyāda zaḳhm mere sar kā hai
ik tabīb-e-ādmiyat ne kahā hai saaf saaf
zahr duniyā kī ragoñ meñ sab fasād-e-zar kā hai
dekh kar insān ko kahtī hai saarī kā.enāt
ye to ham meñ se nahīñ hai ye koī bāhar kā hai
saarī kaḌiyāñ toḌ diiñ maiñ ne mohabbat ke sivā
kaun toḌegā ise ye jabr to andar kā hai
KHair ka tujh ko yaqin hai aur us ko shar ka hai
donon haq par hain ki jhagDa sirf pas-manzar ka hai
aansuon se tu hai KHali dard se 'ari hun main
teri aankhen kanch ki hain mera dil patthar ka hai
kaun dafnata use wo ek barahna lash thi
sab ne puchha kaun hai wo kaun se lashkar ka hai
tu sukun se thak gaya hai aur betabi se main
shauq hai tujh ko safar ka aur mujh ko ghar ka hai
ek pauda sahn mein tha dhup kha kar jal gaya
sirf mera hi nahin hai ranj ye ghar bhar ka hai
sochta rahta hun main teri uDanen dekh kar
ye hawa ka zor hai ya tere baal-o-par ka hai
ek buDhe ne kiya asr-e-rawan pe tabsira
ye zamana aadmi ka hai ki zor-o-zar ka hai
main ne sincha hai lahu se is dil-e-sar-sabz ko
'umr bhar se ye 'ilaqa meri chashm-e-tar ka hai
main simaT kar leTta hun bistar-e-idrak par
panw phailaun to andesha mujhe chadar ka hai
is masafat ka mudawa tujh se bhi mumkin nahin
zaKHm-e-dil se kuchh ziyaada zaKHm mere sar ka hai
ek tabib-e-admiyat ne kaha hai saf saf
zahr duniya ki ragon mein sab fasad-e-zar ka hai
dekh kar insan ko kahti hai sari kaenat
ye to hum mein se nahin hai ye koi bahar ka hai
sari kaDiyan toD din main ne mohabbat ke siwa
kaun toDega ise ye jabr to andar ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.