KHala ke jaisa koi darmiyan bhi paDta
ḳhalā ke jaisā koī darmiyān bhī paḌtā
phir is safar meñ kahīñ āsmān bhī paḌtā
maiñ choT kar to rahā huuñ havā ke māthe par
mazā to jab thā ki koī nishān bhī paḌtā
ajiib ḳhvāhisheñ uThtī haiñ is ḳharābe meñ
guzar rahe haiñ to apnā makān bhī paḌtā
hamīñ jahān ke pīchhe paḌe raheñ kab tak
hamāre pīchhe kabhī ye jahān bhī paḌtā
ye ik kamī ki jo ab zindagī sī lagtī hai
hamārī dhuup meñ vo sā.ebān bhī paḌtā
har ek roz isī zindagī kī tayyārī
so chāhte haiñ kabhī imtihān bhī paḌtā
KHala ke jaisa koi darmiyan bhi paDta
phir is safar mein kahin aasman bhi paDta
main choT kar to raha hun hawa ke mathe par
maza to jab tha ki koi nishan bhi paDta
ajib KHwahishen uThti hain is KHarabe mein
guzar rahe hain to apna makan bhi paDta
hamin jahan ke pichhe paDe rahen kab tak
hamare pichhe kabhi ye jahan bhi paDta
ye ek kami ki jo ab zindagi si lagti hai
hamari dhup mein wo saeban bhi paDta
har ek roz isi zindagi ki tayyari
so chahte hain kabhi imtihan bhi paDta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.