Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHud apne dil mein KHarashen utarna hongi

Mohsin Naqvi

KHud apne dil mein KHarashen utarna hongi

Mohsin Naqvi

MORE BYMohsin Naqvi

    ḳhud apne dil meñ ḳharāsheñ utārnā hoñgī

    abhī to jaag ke rāteñ guzārnā hoñgī

    tire liye mujhe hañs hañs ke bolnā hogā

    mire liye tujhe zulfeñ sañvārnā hoñgī

    tirī sadā se tujhī ko tarāshnā hogā

    havā chaap se shakleñ ubhārnā hoñgī

    abhī to terī tabī.at ko jītne ke liye

    dil o nigāh sharteñ bhī hārnā hoñgī

    tire visāl ḳhvāhish ke tez rañgoñ se

    tire firāq sub.heñ nikhārnā hoñgī

    ye shā.irī ye kitābeñ ye āyateñ dil

    nishāniyāñ ye sabhī tujh pe vārnā hoñgī

    KHud apne dil mein KHarashen utarna hongi

    abhi to jag ke raaten guzarna hongi

    tere liye mujhe hans hans ke bolna hoga

    mere liye tujhe zulfen sanwarna hongi

    teri sada se tujhi ko tarashna hoga

    hawa ki chap se shaklen ubhaarna hongi

    abhi to teri tabiat ko jitne ke liye

    dil o nigah ki sharten bhi haarna hongi

    tere visal ki KHwahish ke tez rangon se

    tere firaq ki subhen nikhaarna hongi

    ye shairi ye kitaben ye aayaten dil ki

    nishaniyan ye sabhi tujh pe warna hongi

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    KHud apne dil mein KHarashen utarna hongi Nomaan Shauque

    Tagged Under

    This content features in following collection(s)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now