khula hai dar pa tera intizar jata raha
khulā hai dar pa tirā intizār jaatā rahā
ḳhulūs to hai magar e'tibār jaatā rahā
kisī kī aañkh meñ mastī to aaj bhī hai vahī
magar kabhī jo hameñ thā ḳhumār jaatā rahā
kabhī jo siine meñ ik aag thī vo sard huī
kabhī nigāh meñ jo thā sharār jaatā rahā
ajab sā chain thā ham ko ki jab the ham bechain
qarār aayā to jaise qarār jaatā rahā
kabhī to merī bhī sunvā.ī hogī mahfil meñ
maiñ ye umiid liye baar baar jaatā rahā
khula hai dar pa tera intizar jata raha
KHulus to hai magar e'tibar jata raha
kisi ki aankh mein masti to aaj bhi hai wahi
magar kabhi jo hamein tha KHumar jata raha
kabhi jo sine mein ek aag thi wo sard hui
kabhi nigah mein jo tha sharar jata raha
ajab sa chain tha hum ko ki jab the hum bechain
qarar aaya to jaise qarar jata raha
kabhi to meri bhi sunwai hogi mahfil mein
main ye umid liye bar bar jata raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.