khuli aankhon mein sapna jhankta hai
khulī āñkhoñ meñ sapnā jhāñktā hai
vo soyā hai ki kuchh kuchh jāgtā hai
tirī chāhat ke bhīge jañgaloñ meñ
mirā tan mor ban kar nāchtā hai
mujhe har kaifiyat meñ kyuuñ na samjhe
vo mere sab havāle jāntā hai
maiñ us kī dastaras meñ huuñ magar vo
mujhe merī razā se māñgtā hai
kisī ke dhyān meñ Duubā huā dil
bahāne se mujhe bhī Tāltā hai
saḌak ko chhoḌ kar chalnā paḌegā
ki mere ghar kā kachchā rāsta hai
khuli aankhon mein sapna jhankta hai
wo soya hai ki kuchh kuchh jagta hai
teri chahat ke bhige jangalon mein
mera tan mor ban kar nachta hai
mujhe har kaifiyat mein kyun na samjhe
wo mere sab hawale jaanta hai
main us ki dastaras mein hun magar wo
mujhe meri raza se mangta hai
kisi ke dhyan mein Duba hua dil
bahane se mujhe bhi Talta hai
saDak ko chhoD kar chalna paDega
ki mere ghar ka kachcha rasta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.