Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHwab ki rah mein aae na dar-o-baam kabhi

Hasan Naim

KHwab ki rah mein aae na dar-o-baam kabhi

Hasan Naim

ḳhvāb raah meñ aa.e na dar-o-bām kabhī

is musāfir ne uThāyā nahīñ ārām kabhī

rashk-e-mahtāb hai ik dāġh-e-tamannā kab se

dil nazzāra karo aa ke sar-e-shām kabhī

shab-ba-ḳhair us ne kahā thā ki sitāre larze

ham na bhūleñge judā.ī vo hañgām kabhī

sar-kashī apnī huī kam na ummīdeñ TūTīñ

mujh se kuchh ḳhush na gayā mausam-e-ālām kabhī

ham se āvāroñ sohbat meñ hai vo lutf ki bas

do ghaḌī mil to sahī gardish-e-ayyām kabhī

ai sabā maiñ bhī thā āshufta-saroñ meñ yaktā

pūchhnā dillī galiyoñ se mirā naam kabhī

nudrat-e-fikr ne gar saath jo chhoḌā to 'na.īm'

apne sar leñge tatabbo na ilzām kabhī

KHwab ki rah mein aae na dar-o-baam kabhi

is musafir ne uThaya nahin aaram kabhi

rashk-e-mahtab hai ek dagh-e-tamanna kab se

dil ka nazzara karo aa ke sar-e-sham kabhi

shab-ba-KHair us ne kaha tha ki sitare larze

hum na bhulenge judai ka wo hangam kabhi

sar-kashi apni hui kam na ummiden TuTin

mujh se kuchh KHush na gaya mausam-e-alam kabhi

hum se aawaron ki sohbat mein hai wo lutf ki bas

do ghaDi mil to sahi gardish-e-ayyam kabhi

ai saba main bhi tha aashufta-saron mein yakta

puchhna dilli ki galiyon se mera nam kabhi

nudrat-e-fikr ne gar sath jo chhoDa to 'naim'

apne sar lenge tatabbo ka na ilzam kabhi

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

KHwab ki rah mein aae na dar-o-baam kabhi Nomaan Shauque

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now