KHwab tumhaare aate hain
ḳhvāb tumhāre aate haiñ
niiñd uḌā le jaate haiñ
aaj likheñge haal apnā
sochte haiñ Dar jaate haiñ
ishq bahut sachchā hai ham
taare toḌ ke laate haiñ
rusvā.ī kā ḳhauf nahīñ
shohrat se ghabrāte haiñ
naam tumhārā aatā hai
yādoñ meñ kho jaate haiñ
dil meñ dard sā uThtā hai
dard meñ Duube jaate haiñ
us kā dhyān jab aatā hai
ek sukūn sā paate haiñ
bāġhoñ meñ vo jaatā hai
phuul bahut sharmāte haiñ
apne ghar vo chain se hai
ham bhī hañste gaate haiñ
marg-e-musalsal hai lekin
ham zinda kahlāte haiñ
KHwab tumhaare aate hain
nind uDa le jate hain
aaj likhenge haal apna
sochte hain Dar jate hain
ishq bahut sachcha hai hum
tare toD ke late hain
ruswai ka KHauf nahin
shohrat se ghabraate hain
nam tumhaara aata hai
yaadon mein kho jate hain
dil mein dard sa uThta hai
dard mein Dube jate hain
us ka dhyan jab aata hai
ek sukun sa pate hain
baghon mein wo jata hai
phul bahut sharmate hain
apne ghar wo chain se hai
hum bhi hanste gate hain
marg-e-musalsal hai lekin
hum zinda kahlate hain
- Book : Asaleeb (Pg. 606)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.