KHwab waise to ek inayat hai
ḳhvāb vaise to ik ināyat hai
aañkh khul jaa.e to musībat hai
jism aayā kisī ke hisse meñ
dil kisī aur kī amānat hai
jaan dene kā vaqt aa hī gayā
is tamāshe ke ba.ad fursat hai
umr bhar jis ke mashvaroñ pe chale
vo pareshān hai to hairat hai
ab sañvarne kā vaqt us ko nahīñ
jab hameñ dekhne kī fursat hai
us pe utne hī rañg khulte haiñ
jis kī āñkhoñ meñ jitnī hairat hai
KHwab waise to ek inayat hai
aankh khul jae to musibat hai
jism aaya kisi ke hisse mein
dil kisi aur ki amanat hai
jaan dene ka waqt aa hi gaya
is tamashe ke baad fursat hai
umr bhar jis ke mashwaron pe chale
wo pareshan hai to hairat hai
ab sanwarne ka waqt us ko nahin
jab hamein dekhne ki fursat hai
us pe utne hi rang khulte hain
jis ki aankhon mein jitni hairat hai
- Book : Yahan Tak Roshni Aati Kahan Thi (Pg. 38)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Educational Publishing House (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.