kis liye kije bazm-arai
kis liye kiije bazm-ārā.ī
pur-sukūñ ho ga.ī hai tanhā.ī
phir ḳhamoshī ne saaz chheḌā hai
phir ḳhayālāt ne lī añgḌā.ī
yuuñ sukūñ-āshnā hue lamhe
buuñd meñ jaise aa.e gahrā.ī
ik se ik vāqi.a huā lekin
na ga.ī tere ġham kī yaktā.ī
koī shikva na ġham na koī yaad
baiThe baiThe bas aañkh bhar aa.ī
Dhalkī shānoñ se har yaqīñ kī qabā
zindagī le rahī hai añgḌā.ī
kis liye kije bazm-arai
pur-sukun ho gai hai tanhai
phir KHamoshi ne saz chheDa hai
phir KHayalat ne li angDai
yun sukun-ashna hue lamhe
bund mein jaise aae gahrai
ek se ek waqia hua lekin
na gai tere gham ki yaktai
koi shikwa na gham na koi yaad
baiThe baiThe bas aankh bhar aai
Dhalki shanon se har yaqin ki qaba
zindagi le rahi hai angDai
- Book : Lava (Pg. 107)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.