Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kis tarah be-mauj aur Khaali rawani se hua

Javed Shaheen

kis tarah be-mauj aur Khaali rawani se hua

Javed Shaheen

MORE BYJaved Shaheen

    kis tarah be-mauj aur ḳhālī ravānī se huā

    be-ḳhabar dariyā kahāñ par apne paanī se huā

    baḌh rahī thī ek bastī se mirī begānagī

    mas.ala merā na hal naql-e-makānī se huā

    apne hone mujhe ḳhud diyā us ne subūt

    āshnā us se usī ik nishānī se huā

    kah rahā thā vo ki kaise kaT rahe the us ke din

    maiñ girafta-dil bahut us kahānī se huā

    ik jagah saaf aur taaza havā achchhī lagī

    kuchh ilāj-e-dil vahāñ ke saada paanī se huā

    kis qadar ġham-ḳhvār thā vo shahr aur hamdard log

    is kuchh andāza apnī rā.egānī se huā

    rut badal jaane se piilā paḌ gayā farsh-e-chaman

    zard peḌoñ badan barg-e-ḳhizānī se huā

    kar rahā huuñ maiñ zabāñ ko ik banāvaT se rihā

    lafz zinda phir mirī sāda-bayānī se huā

    mere us ke darmiyāñ jaise kabhī kuchh bhī na thā

    aisā 'shāhīñ' bas zarā bad-gumānī se huā

    kis tarah be-mauj aur KHali rawani se hua

    be-KHabar dariya kahan par apne pani se hua

    baDh rahi thi ek basti se meri beganagi

    masala mera na hal naql-e-makani se hua

    apne hone ka mujhe KHud hi diya us ne subut

    aashna us se usi ki ek nishani se hua

    kah raha tha wo ki kaise kaT rahe the us ke din

    main girafta-dil bahut us ki kahani se hua

    ek jagah ki saf aur taza hawa achchhi lagi

    kuchh ilaj-e-dil wahan ke sada pani se hua

    kis qadar gham-KHwar tha wo shahr aur hamdard log

    is ka kuchh andaza apni raegani se hua

    rut badal jaane se pila paD gaya farsh-e-chaman

    zard peDon ka badan barg-e-KHizani se hua

    kar raha hun main zaban ko ek banawaT se riha

    lafz zinda phir meri sada-bayani se hua

    mere us ke darmiyan jaise kabhi kuchh bhi na tha

    aisa 'shahin' bas zara si bad-gumani se hua

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    kis tarah be-mauj aur Khaali rawani se hua Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now