Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kise KHabar jab main shahr-e-jaan se guzar raha tha

Akhtar Hoshiyarpuri

kise KHabar jab main shahr-e-jaan se guzar raha tha

Akhtar Hoshiyarpuri

MORE BYAkhtar Hoshiyarpuri

    kise ḳhabar jab maiñ shahr-e-jāñ se guzar rahā thā

    zamīñ thī pahlū meñ sūraj ik kos par rahā thā

    havā meñ ḳhushbueñ merī pahchān ban ga.ī thiiñ

    maiñ apnī miTTī se phuul ban kar ubhar rahā thā

    ajiib sargoshiyoñ aalam thā anjuman meñ

    maiñ sun rahā thā zamāna tanqīd kar rahā thā

    vo kaisī chhat thī jo mujh ko āvāz de rahī thī

    vo kyā nagar thā jahāñ maiñ chup-chāp utar rahā thā

    maiñ dekhtā thā ki uñgliyoñ meñ diye lau hai

    maiñ jāgtā thā ki rañg ḳhvāboñ meñ bhar rahā thā

    ye baat alag hai ki maiñ ne jhāñkā nahīñ galī meñ

    ye sach hai koī sadā.eñ detā guzar rahā thā

    ye chand be-harf-o-saut ḳhāke mirā asāsa

    maiñ jin ko ġhazloñ naam de kar sañvar rahā thā

    zamāna shabnam ke bhes meñ aayā aur duā

    maiñ zard-rut meñ jab apnī bāhoñ meñ mar rahā thā

    mujhe kisī se naqab-zanī ḳhatar nahīñ thā

    maiñ 'aḳhtar' apne jasad-e-ḳhākī se Dar rahā thā

    kise KHabar jab main shahr-e-jaan se guzar raha tha

    zamin thi pahlu mein suraj ek kos par raha tha

    hawa mein KHushbuen meri pahchan ban gai thin

    main apni miTTi se phul ban kar ubhar raha tha

    ajib sargoshiyon ka aalam tha anjuman mein

    main sun raha tha zamana tanqid kar raha tha

    wo kaisi chhat thi jo mujh ko aawaz de rahi thi

    wo kya nagar tha jahan main chup-chap utar raha tha

    main dekhta tha ki ungliyon mein diye ki lau hai

    main jagta tha ki rang KHwabon mein bhar raha tha

    ye baat alag hai ki main ne jhanka nahin gali mein

    ye sach hai koi sadaen deta guzar raha tha

    ye chand be-harf-o-saut KHake mera asasa

    main jin ko ghazlon ka nam de kar sanwar raha tha

    zamana shabnam ke bhes mein aaya aur dua di

    main zard-rut mein jab apni bahon mein mar raha tha

    mujhe kisi se naqab-zani ka KHatar nahin tha

    main 'aKHtar' apne hi jasad-e-KHaki se Dar raha tha

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now