Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi ke gesu-e-pur-pech par dil-dar baiThe hain

Nwab Saif Ali Sayyaf

kisi ke gesu-e-pur-pech par dil-dar baiThe hain

Nwab Saif Ali Sayyaf

kisī ke gesu-e-pur-pech par dil-dār baiThe haiñ

vo ab kyā jiit sakte haiñ jo baazī haar baiThe haiñ

asīrān-e-qafas haal ab dekhā nahīñ jaatā

thake haiñ phaḌphaḌā kar jaan se bezār baiThe haiñ

dil-e-āshufta de deñ ab kisī ko meñ aatā hai

ki us be-ḳhudī se ho ke ham bezār baiThe haiñ

ḳhudārā ik nigāh-e-nāz se dekh lo ham ko

garebāñ phāḌne ko aaj ham tayyār baiThe haiñ

kahāñ baaqī rahā vahshat maiñ shaġhl-e-be-ḳhudī koī

uḌā kar dhajjiyāñ jaame ham bekār baiThe haiñ

kisī bazm meñ be-ḳhauf phir jaate haiñ ġham khāne

vo hoñge aur chhup kar jo pas-e-dīvār baiThe haiñ

yakāyak apnī ummīdoñ duniyā luT ga.ī saarī

nazar phirte un ham se sab bezār baiThe haiñ

tujhe saaqī hai sadma aaj phir se apnī āñkhoñ

diloñ ke jaam ḳhālī kar ke sab mai-ḳhvār baiThe haiñ

uTheñge ye jabhī jab ḳhud qazā aa kar uThā.egī

jo is kūche meñ zer-e-sāya-e-dīvār baiThe haiñ

hameñ parvā nahīñ saaqī zarā bhī jām-o-mīnā

kisī chashm-e-maigūñ dekh kar sarshār baiThe haiñ

bhalā kyūñkar rakhe phir un se ummīd-e-vafā koī

hasīnān-e-jahāñ jab darpai-e-āzār baiThe haiñ

shab-e-furqat kahāñ hai chain in aafat ke māroñ ko

yūñhī thāme kaleja aap ke bīmār baiThe haiñ

dil-e-mushtāq kahtā hai chalo ab faisla kar leñ

ye sunte haiñ ki vo khīñche hue talvār baiThe haiñ

kisi ke gesu-e-pur-pech par dil-dar baiThe hain

wo ab kya jit sakte hain jo bazi haar baiThe hain

asiran-e-qafas ka haal ab dekha nahin jata

thake hain phaDphaDa kar jaan se bezar baiThe hain

dil-e-ashufta de den ab kisi ko ji mein aata hai

ki us ki be-KHudi se ho ke hum bezar baiThe hain

KHudara ek nigah-e-naz hi se dekh lo hum ko

gareban phaDne ko aaj hum tayyar baiThe hain

kahan baqi raha wahshat main shaghl-e-be-KHudi koi

uDa kar dhajjiyan jame ki hum bekar baiThe hain

kisi ki bazm mein be-KHauf phir jate hain gham khane

wo honge aur chhup kar jo pas-e-diwar baiThe hain

yakayak apni ummidon ki duniya luT gai sari

nazar phirte hi un ki hum se sab bezar baiThe hain

tujhe saqi hai sadma aaj phir se apni aankhon ka

dilon ke jam KHali kar ke sab mai-KHwar baiThe hain

uThenge ye jabhi jab KHud qaza aa kar uThaegi

jo is kuche mein zer-e-saya-e-diwar baiThe hain

hamein parwa nahin saqi zara bhi jam-o-mina ki

kisi ki chashm-e-maigun dekh kar sarshaar baiThe hain

bhala kyunkar rakhe phir un se ummid-e-wafa koi

hasinan-e-jahan jab darpai-e-azar baiThe hain

shab-e-furqat kahan hai chain in aafat ke maron ko

yunhi thame kaleja aap ke bimar baiThe hain

dil-e-mushtaq kahta hai chalo ab faisla kar len

ye sunte hain ki wo khinche hue talwar baiThe hain

Source :
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now