Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi nadida shai ki chah mein aksar badalte hain

Shoaib Nizam

kisi nadida shai ki chah mein aksar badalte hain

Shoaib Nizam

kisī nādīda shai chaah meñ aksar badalte haiñ

kabhī āñkheñ kabhī chehra kabhī manzar badalte haiñ

kisī mahfūz goshe talab majbūr kartī hai

makīñ badle nahīñ jaate haiñ so ham ghar badalte haiñ

miyāñ bāzār ko sharminda karnā kyā zarūrī hai

kahīñ is daur meñ tahzīb ke zevar badalte haiñ

ye an-jāne parinde kaun se jangal se aa.e haiñ

jo har parvāz se pahle na.e shahpar badalte haiñ

isī se sūrat-e-hālāt tasvīr bantī hai

usī ke Dar se ham log apnā apnā dar badalte haiñ

sitārā mirī āġhosh meñ kuchh to chamaktā hai

jhalak paane jis ko aa.ine mehvar badalte haiñ

kisi nadida shai ki chah mein aksar badalte hain

kabhi aankhen kabhi chehra kabhi manzar badalte hain

kisi mahfuz goshe ki talab majbur karti hai

makin badle nahin jate hain so hum ghar badalte hain

miyan bazar ko sharminda karna kya zaruri hai

kahin is daur mein tahzib ke zewar badalte hain

ye an-jaane parinde kaun se jangal se aae hain

jo har parwaz se pahle nae shahpar badalte hain

isi se surat-e-haalat ki taswir banti hai

usi ke Dar se hum log apna apna dar badalte hain

sitara sa meri aaghosh mein kuchh to chamakta hai

jhalak pane ki jis ko aaine mehwar badalte hain

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Shoaib Nizam

Shoaib Nizam

RECITATIONS

Shoaib Nizam

Shoaib Nizam,

Shoaib Nizam

kisi nadida shai ki chah mein aksar badalte hain Shoaib Nizam

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now