Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi ne phir se lagai sada udasi ki

Shahida Majeed

kisi ne phir se lagai sada udasi ki

Shahida Majeed

kisī ne phir se lagā.ī sadā udāsī

palaT ke aane lagī hai fazā udāsī

bahut uḌegā yahāñ par fasurdagī ġhubār

ki phir se chalne lagī hai havā udāsī

zamīn-e-dil pe mohabbat āb-yārī ko

bahut TuuT ke barsī ghaTā udāsī

nazar nazar meñ udāsī dikhā.ī dene lagī

nagar nagar meñ hai phailī vabā udāsī

kisī tabīb kisī chārāgar ke paas nahīñ

koī ilaaj koī bhī davā udāsī

koī ilaaj nahīñ hai to phir duā kareñ

ki chhoḌ jaa.e hameñ ye balā udāsī

ai āftāb ye aalam tirā ġhurūb ke vaqt

sikhā.ī kis ne tujhe ye adā udāsī

zamīn-zādoñ ko virsa milā hai aadam se

huī thī ḳhuld se ibtidā udāsī

ye tere dil se tirī ruuh meñ utar jaa.e

bichhaḌne vaale ne thī duā udāsī

ye dil kaasa abhī ḳhaam hai ai kūza-gar

aur aañch pe us ko tapā udāsī

kisi ne phir se lagai sada udasi ki

palaT ke aane lagi hai faza udasi ki

bahut uDega yahan par fasurdagi ka ghubar

ki phir se chalne lagi hai hawa udasi ki

zamin-e-dil pe mohabbat ki aab-yari ko

bahut hi TuT ke barsi ghaTa udasi ki

nazar nazar mein udasi dikhai dene lagi

nagar nagar mein hai phaili waba udasi ki

kisi tabib kisi chaaragar ke pas nahin

koi ilaj koi bhi dawa udasi ki

koi ilaj nahin hai to phir dua hi karen

ki chhoD jae hamein ye bala udasi ki

ai aaftab ye aalam tera ghurub ke waqt

sikhai kis ne tujhe ye ada udasi ki

zamin-zadon ko wirsa mila hai aadam se

hui thi KHuld se hi ibtida udasi ki

ye tere dil se teri ruh mein utar jae

bichhaDne wale ne di thi dua udasi ki

ye dil ka kasa abhi KHam hai ai kuza-gar

tu aur aanch pe us ko tapa udasi ki

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now