aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi safar kisi asbab se ilaqa nahin

Ziaul Mustafa Turk

kisi safar kisi asbab se ilaqa nahin

Ziaul Mustafa Turk

MORE BYZiaul Mustafa Turk

    kisī safar kisī asbāb se ilāqa nahīñ

    tumhāre baad kisī ḳhvāb se ilāqa nahīñ

    hamāre ahd dīvāngī hamīñ se hai

    hamāre asr ko mahtāb se ilāqa nahīñ

    magar ye ḳhvāb agar ḳhvāb haiñ to kaise haiñ

    ki jin ko dīda-e-be-ḳhvāb se ilāqa nahīñ

    har ek saaz ko sāzindagāñ nahīñ darkār

    badan ko zarbat-e-mizrāb se ilāqa nahīñ

    kisi safar kisi asbab se ilaqa nahin

    tumhaare baad kisi KHwab se ilaqa nahin

    hamare ahd ki diwangi hamin se hai

    hamare asr ko mahtab se ilaqa nahin

    magar ye KHwab agar KHwab hain to kaise hain

    ki jin ko dida-e-be-KHwab se ilaqa nahin

    har ek saz ko sazindagan nahin darkar

    badan ko zarbat-e-mizrab se ilaqa nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now