kitab-e-sabz o dar-e-dastan band kiye
kitāb-e-sabz o dar-e-dāstān band kiye
vo aañkh so ga.ī ḳhvāboñ ko arjumand kiye
guzar gayā hai vo sailāb-e-ātish-e-imroz
baġhair ḳhema o ḳhāshāk ko gazand kiye
bahut musir the ḳhudāyān-e-sābit-o-sayyār
so maiñ ne aa.ina o āsmāñ pasand kiye
isī jazīra-e-jā-e-namāz par 'sarvat'
zamāna ho gayā dast-e-duā buland kiye
kitab-e-sabz o dar-e-dastan band kiye
wo aankh so gai KHwabon ko arjumand kiye
guzar gaya hai wo sailab-e-atish-e-imroz
baghair KHema o KHashak ko gazand kiye
bahut musir the KHudayan-e-sabit-o-sayyar
so main ne aaina o aasman pasand kiye
isi jazira-e-ja-e-namaz par 'sarwat'
zamana ho gaya dast-e-dua buland kiye
- Book : Range-e-Gazal (Pg. 161)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.