kitaben jab koi paDhta nahin tha
kitābeñ jab koī paḌhtā nahīñ thā
fazā meñ shor bhī itnā nahīñ thā
ajab sanjīdgī thī shahr bhar meñ
ki pāgal bhī koī hañstā nahīñ thā
baḌī māsūm sī apnā.iyat thī
vo mujh se roz jab miltā nahīñ thā
javānoñ meñ tasādum kaise ruktā
qabīle meñ koī būḌhā nahīñ thā
purāne ahd meñ bhī dushmanī thī
magar māhaul zahrīlā nahīñ thā
sabhī kuchh thā ġhazal meñ us kī 'az.har'
bas ik lahja mire jaisā nahīñ thā
kitaben jab koi paDhta nahin tha
faza mein shor bhi itna nahin tha
ajab sanjidgi thi shahr bhar mein
ki pagal bhi koi hansta nahin tha
baDi masum si apnaiyat thi
wo mujh se roz jab milta nahin tha
jawanon mein tasadum kaise rukta
qabile mein koi buDha nahin tha
purane ahd mein bhi dushmani thi
magar mahaul zahrila nahin tha
sabhi kuchh tha ghazal mein us ki 'azhar'
bas ek lahja mere jaisa nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.