koī aTkā huā hai pal shāyad
vaqt meñ paḌ gayā hai bal shāyad
lab pe aa.ī mirī ġhazal shāyad
vo akele haiñ āj-kal shāyad
dil agar hai to dard bhī hogā
is kā koī nahīñ hai hal shāyad
jānte haiñ savāb-e-rahm-o-karam
un se hotā nahīñ amal shāyad
aa rahī hai jo chaap qadmoñ kī
khil rahe haiñ kahīñ kañval shāyad
raakh ko bhī kured kar dekho
abhī jaltā ho koī pal shāyad
chāñd Duube to chāñd hī nikle
aap ke paas hogā hal shāyad
koi aTka hua hai pal shayad
waqt mein paD gaya hai bal shayad
lab pe aai meri ghazal shayad
wo akele hain aaj-kal shayad
dil agar hai to dard bhi hoga
is ka koi nahin hai hal shayad
jaante hain sawab-e-rahm-o-karam
un se hota nahin amal shayad
aa rahi hai jo chap qadmon ki
khil rahe hain kahin kanwal shayad
rakh ko bhi kured kar dekho
abhi jalta ho koi pal shayad
chand Dube to chand hi nikle
aap ke pas hoga hal shayad
- Book : Chand Pukhraj Ka (Pg. 195)
- Author : Gulzar
- Publication : Roopa And Company (1995)
- Edition : 1995
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.