Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi din ka aab-o-dana aur hai

Ismail Merathi

koi din ka aab-o-dana aur hai

Ismail Merathi

MORE BYIsmail Merathi

    koī din āb-o-dāna aur hai

    phir chaman aur āshiyāna aur hai

    haañ dil-e-be-tāb chande intizār

    amn-o-rāhat Thikāna aur hai

    sham.a phīkī raat kam mahfil udaas

    ab muġhannī tarāna aur hai

    ai javānī kahānī ho ga.ī

    ham nahīñ vo zamāna aur hai

    jis ko jān-e-zindagānī kah sakeñ

    vo hayāt-e-jāvedāna aur hai

    jis ko sun kar zohra-e-sañg aab ho

    aah vo ġhamgīñ fasāna aur hai

    agar samā-e-razā ho to kahūñ

    ek pand-e-mushfiqāna aur hai

    ittifāqī hai yahāñ irtibāt

    sab haiñ begāne yagāna aur hai

    koi din ka aab-o-dana aur hai

    phir chaman aur aashiyana aur hai

    han dil-e-be-tab chande intizar

    amn-o-rahat ka Thikana aur hai

    shama phiki raat kam mahfil udas

    ab mughanni ka tarana aur hai

    ai jawani tu kahani ho gai

    hum nahin wo ya zamana aur hai

    jis ko jaan-e-zindagani kah saken

    wo hayat-e-jawedana aur hai

    jis ko sun kar zohra-e-sang aab ho

    aah wo ghamgin fasana aur hai

    wa agar sama-e-raza ho to kahun

    ek pand-e-mushfiqana aur hai

    ittifaqi hai yahan ka irtibaat

    sab hain begane yagana aur hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now