koi guman hun koi yaqin hun ki main nahin hun
koī gumāñ huuñ koī yaqīñ huuñ ki maiñ nahīñ huuñ
maiñ DhūñDhtā huuñ ki maiñ kahīñ huuñ ki maiñ nahīñ huuñ
kahīñ sitāre kahīñ haiñ jugnū kahīñ añdhere
maiñ āsmāñ huuñ koī zamīñ huuñ ki maiñ nahīñ huuñ
maiñ ek dil huuñ kisī ke dil meñ ki vāhima huuñ
koī makāñ huuñ koī makīñ huuñ ki maiñ nahīñ huuñ
dikhā.ī detā thā jā-ba-jā dil ke hāshiye meñ
vahāñ nahīñ huuñ to dil-nashīñ huuñ ki maiñ nahīñ huuñ
mirī kamā.ī the yaar mere kahāñ ga.e haiñ
jo sochtā huuñ ġhalat nahīñ huuñ ki maiñ nahīñ huuñ
koi guman hun koi yaqin hun ki main nahin hun
main DhunDhta hun ki main kahin hun ki main nahin hun
kahin sitare kahin hain jugnu kahin andhere
main aasman hun koi zamin hun ki main nahin hun
main ek dil hun kisi ke dil mein ki wahima hun
koi makan hun koi makin hun ki main nahin hun
dikhai deta tha ja-ba-ja dil ke hashiye mein
wahan nahin hun to dil-nashin hun ki main nahin hun
meri kamai the yar mere kahan gae hain
jo sochta hun ghalat nahin hun ki main nahin hun
- Book : Aankh Bhar Tamasha Hai (Pg. 32)
- Author : Ahmad Ata
- Publication : Sanjh Publications (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.