koi ishq mein mujhse afzun na nikla
koī ishq meñ mujh se afzūñ na niklā
kabhī sāmne ho ke majnūñ na niklā
baḌā shor sunte the pahlū meñ dil kā
jo chīrā to ik qatra-e-ḳhūñ na niklā
bajā kahte aa.e haiñ hech us ko shā.ir
kamar kā koī ham se mazmūñ na niklā
huā kaun sā roz-e-raushan na kaalā
kab afsāna-e-zulf-e-shabgūñ na niklā
pahuñchtā use misra-e-tāza-o-tar
qad-e-yār sā sarv-e-mauzūñ na niklā
rahā sāl-hā-sāl jangal meñ 'ātish'
mire sāmne bed-e-majnūñ na niklā
koi ishq mein mujh se afzun na nikla
kabhi samne ho ke majnun na nikla
baDa shor sunte the pahlu mein dil ka
jo chira to ek qatra-e-KHun na nikla
baja kahte aae hain hech us ko shair
kamar ka koi hum se mazmun na nikla
hua kaun sa roz-e-raushan na kala
kab afsana-e-zulf-e-shabgun na nikla
pahunchta use misra-e-taza-o-tar
qad-e-yar sa sarw-e-mauzun na nikla
raha sal-ha-sal jangal mein 'atish'
mere samne bed-e-majnun na nikla
- Book : Rekhta Ke Atish (Pg. 25)
- Author : Khwaja Haider Ali Aatish
- Publication : Rekhta Publications
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.