Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi mahmil-nashin kyun shad ya nashad hota hai

Asghar Gondvi

koi mahmil-nashin kyun shad ya nashad hota hai

Asghar Gondvi

koī mahmil-nashīñ kyuuñ shaad nāshād hotā hai

ġhubār-e-qais ḳhud uThtā hai ḳhud barbād hotā hai

qafas kyā halqa-hā-e-dām kyā ranj-e-asīrī kyā

chaman par miT gayā jo har tarah āzād hotā hai

ye sab na-āshnā-e-lazzat-e-parvāz haiñ shāyad

asīroñ meñ abhī tak shikva-e-sayyād hotā hai

bahār-e-sabza-o-gul hai karam hotā hai saaqī

javāñ hotī hai duniyā mai-kada ābād hotā hai

banā letā hai mauj-e-ḳhūn-e-dil se ik chaman apnā

vo pāband-e-qafas jo fitratan āzād hotā hai

bahār anjām samjhūñ is chaman ḳhizāñ samjhūñ

zabān-e-barg-e-gul se mujh ko kyā irshād hotā hai

azal meñ ik tajallī se huī thī be-ḳhudī taarī

tumhīñ ko maiñ ne dekhā thā kuchh aisā yaad hotā hai

samā.e rahe haiñ ab vo jalve diida o dil meñ

ye nazzāra hai zauq-e-nazar barbād hotā hai

zamāna hai ki ḳhūgar ho rahā hai shor o shevan

yahāñ vo dard jo be-nāla-o-fariyād hotā hai

yahāñ kotāhi-e-zauq-e-amal hai ḳhud giraftārī

jahāñ baazū simaTte haiñ vahīñ sayyād hotā hai

yahāñ mastoñ ke sar ilzām-e-hastī nahīñ 'asġhar'

phir is ke baad har ilzām be-buniyād hotā hai

koi mahmil-nashin kyun shad ya nashad hota hai

ghubar-e-qais KHud uThta hai KHud barbaad hota hai

qafas kya halqa-ha-e-dam kya ranj-e-asiri kya

chaman par miT gaya jo har tarah aazad hota hai

ye sab na-ashna-e-lazzat-e-parwaz hain shayad

asiron mein abhi tak shikwa-e-sayyaad hota hai

bahaar-e-sabza-o-gul hai karam hota hai saqi ka

jawan hoti hai duniya mai-kada aabaad hota hai

bana leta hai mauj-e-KHun-e-dil se ek chaman apna

wo paband-e-qafas jo fitratan aazad hota hai

bahaar anjam samjhun is chaman ka ya KHizan samjhun

zaban-e-barg-e-gul se mujh ko kya irshad hota hai

azal mein ek tajalli se hui thi be-KHudi tari

tumhin ko main ne dekha tha kuchh aisa yaad hota hai

samae ja rahe hain ab wo jalwe dida o dil mein

ye nazzara hai ya zauq-e-nazar barbaad hota hai

zamana hai ki KHugar ho raha hai shor o shewan ka

yahan wo dard jo be-nala-o-fariyaad hota hai

yahan kotahi-e-zauq-e-amal hai KHud giraftari

jahan bazu simaTte hain wahin sayyaad hota hai

yahan maston ke sar ilzam-e-hasti hi nahin 'asghar'

phir is ke baad har ilzam be-buniyaad hota hai

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

koi mahmil-nashin kyun shad ya nashad hota hai Nomaan Shauque

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now