Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh is ada se aaj wo pahlu-nashin rahe

Jigar Moradabadi

kuchh is ada se aaj wo pahlu-nashin rahe

Jigar Moradabadi

kuchh is adā se aaj vo pahlū-nashīñ rahe

jab tak hamāre paas rahe ham nahīñ rahe

īmān-o-kufr aur na duniyā-o-dīñ rahe

ai ishq-e-shād-bāsh ki tanhā hamīñ rahe

aalam jab ek haal pe qaa.em nahīñ rahe

kyā ḳhaak e'tibār-e-nigāh-e-yaqīn rahe

merī zabāñ pe shikva-e-dard-āfrīñ rahe

shāyad mire havās Thikāne nahīñ rahe

jab tak ilāhī jism meñ jān-e-hazīñ rahe

nazreñ mirī javān raheñ dil hasīñ rahe

yā-rab kisī ke rāz-e-mohabbat ḳhair ho

dast-e-junūñ rahe na rahe āstīñ rahe

tā-chand josh-e-ishq meñ dil hifāzateñ

merī balā se ab vo junūnī kahīñ rahe

aur koī zabt duniyā talāsh kar

ai ishq ham to ab tire qābil nahīñ rahe

mujh ko nahīñ qubūl do-ālam vus.ateñ

qismat meñ kū-e-yār do-gaz zamīñ rahe

ai ishq-e-nālā-kash tirī ġhairat ko kyā huā

hai hai araq araq vo tan-e-nāznīñ rahe

dard-o-ġham-e-firāq ke ye saḳht marhale

hairāñ huuñ maiñ ki phir bhī tum itne hasīñ rahe

allāh-re chashm-e-yār mojiz-bayāniyāñ

har ik ko hai gumāñ ki muḳhātib hamīñ rahe

zālim uThā parda-e-vahm-o-gumān-o-fikr

kyā sāmne vo marhala-hā-e-yaqīñ rahe

zāt-o-sifāt-e-husn aalam nazar meñ hai

mahdūd-e-sajda kyā mirā zauq-e-jabīñ rahe

kis dard se kisī ne kahā aaj bazm meñ

achchhā ye hai vo nañg-e-mohabbat yahīñ rahe

sar-dādgān-e-ishq-o-mohabbat kyā kamī

qātil teġh tez ḳhudā zamīñ rahe

is ishq talāfi-e-māfāt dekhnā

rone hasrateñ haiñ jab aañsū nahīñ rahe

kuchh is ada se aaj wo pahlu-nashin rahe

jab tak hamare pas rahe hum nahin rahe

iman-o-kufr aur na duniya-o-din rahe

ai ishq-e-shad-bash ki tanha hamin rahe

aalam jab ek haal pe qaem nahin rahe

kya KHak e'tibar-e-nigah-e-yaqin rahe

meri zaban pe shikwa-e-dard-afrin rahe

shayad mere hawas Thikane nahin rahe

jab tak ilahi jism mein jaan-e-hazin rahe

nazren meri jawan rahen dil hasin rahe

ya-rab kisi ke raaz-e-mohabbat ki KHair ho

dast-e-junun rahe na rahe aastin rahe

ta-chand josh-e-ishq mein dil ki hifazaten

meri bala se ab wo jununi kahin rahe

ja aur koi zabt ki duniya talash kar

ai ishq hum to ab tere qabil nahin rahe

mujh ko nahin qubul do-alam ki wusaten

qismat mein ku-e-yar ki do-gaz zamin rahe

ai ishq-e-nala-kash teri ghairat ko kya hua

hai hai araq araq wo tan-e-naznin rahe

dard-o-gham-e-firaq ke ye saKHt marhale

hairan hun main ki phir bhi tum itne hasin rahe

allah-re chashm-e-yar ki mojiz-bayaniyan

har ek ko hai guman ki muKHatib hamin rahe

zalim uTha tu parda-e-wahm-o-guman-o-fikr

kya samne wo marhala-ha-e-yaqin rahe

zat-o-sifat-e-husn ka aalam nazar mein hai

mahdud-e-sajda kya mera zauq-e-jabin rahe

kis dard se kisi ne kaha aaj bazm mein

achchha ye hai wo nang-e-mohabbat yahin rahe

sar-dadgan-e-ishq-o-mohabbat ki kya kami

qatil ki tegh tez KHuda ki zamin rahe

is ishq ki talafi-e-mafat dekhna

rone ki hasraten hain jab aansu nahin rahe

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now