Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh qadam aur mujhe jism ko Dhona hai yahan

Shariq Kaifi

kuchh qadam aur mujhe jism ko Dhona hai yahan

Shariq Kaifi

kuchh qadam aur mujhe jism ko Dhonā hai yahāñ

saath laayā huuñ usī ko jise khonā hai yahāñ

bhiiḌ chhaT jā.egī pal meñ ye ḳhabar uḌte

ab koī aur tamāshā nahīñ honā hai yahāñ

ye bhañvar kaun motī mujhe de saktā hai

baat ye hai ki mujhe ḳhud ko Dubonā hai yahāñ

kyā milā dasht meñ aa kar tire dīvāne ko

ghar ke jaisā agar jāgnā sonā hai yahāñ

kuchh bhī ho jaa.e na mānūñgā magar jism baat

aaj mujrim to kisī aur ko honā hai yahāñ

yuuñ bhī darkār hai mujh ko kisī bīnā.ī lams

ab kisī aur honā mirā honā hai yahāñ

ashk palkoñ pe sajā luuñ maiñ abhī se 'shāriq'

shab hai baaqī to tirā zikr bhī honā hai yahāñ

kuchh qadam aur mujhe jism ko Dhona hai yahan

sath laya hun usi ko jise khona hai yahan

bhiD chhaT jaegi pal mein ye KHabar uDte hi

ab koi aur tamasha nahin hona hai yahan

ye bhanwar kaun sa moti mujhe de sakta hai

baat ye hai ki mujhe KHud ko Dubona hai yahan

kya mila dasht mein aa kar tere diwane ko

ghar ke jaisa hi agar jagna sona hai yahan

kuchh bhi ho jae na manunga magar jism ki baat

aaj mujrim to kisi aur ko hona hai yahan

yun bhi darkar hai mujh ko kisi binai ka lams

ab kisi aur ka hona mera hona hai yahan

ashk palkon pe saja lun main abhi se 'shaariq'

shab hai baqi to tera zikr bhi hona hai yahan

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Shariq Kaifi

Shariq Kaifi

Source :
  • Book : Khidki To Main Ne Khol Hi Li (Pg. 60)
  • Author :Shariq Kaifi
  • Publication : Rekhta Publications
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now