kya abhi kahiyega mujhko apna saudai ki bas
kyā abhī kahiyegā mujh ko apnā saudā.ī ki bas
aur kuchh madd-e-nazar hai apnī rusvā.ī ki bas
chaudhvīñ kā chāñd phūloñ kī mahak ThanDī havā
raat us kāfir adā kī aisī yaad aa.ī ki bas
ham ko to manzūr hai hī apnī taskīn-e-nazar
hai magar un ko bhī vo shauq-e-ḳhud-ārā.ī ki bas
jab mujhe dekhā unheñ sharm aa ga.ī ghabrā ga.e
vo huī hai ḳhair se donoñ ki rusvā.ī ki bas
ab bhī koh-e-tūr par goyā zabān-e-hāl se
hai koī aur us ke jalve kā tamannā.ī ki bas
chaak karne hī ko thā maiñ dāman-e-hosh-o-ḳhirad
jaane kis kī mere kānoñ meñ sadā aa.ī ki bas
aaj vahshat se mirī ghabrā ga.e vo bhī 'ra.īs'
aaj to ḳhud par mujhe itnī hañsī aa.ī ki bas
kya abhi kahiyega mujh ko apna saudai ki bas
aur kuchh madd-e-nazar hai apni ruswai ki bas
chaudhwin ka chand phulon ki mahak ThanDi hawa
raat us kafir ada ki aisi yaad aai ki bas
hum ko to manzur hai hi apni taskin-e-nazar
hai magar un ko bhi wo shauq-e-KHud-arai ki bas
jab mujhe dekha unhen sharm aa gai ghabra gae
wo hui hai KHair se donon ki ruswai ki bas
ab bhi koh-e-tur par goya zaban-e-haal se
hai koi aur us ke jalwe ka tamannai ki bas
chaak karne hi ko tha main daman-e-hosh-o-KHirad
jaane kis ki mere kanon mein sada aai ki bas
aaj wahshat se meri ghabra gae wo bhi 'rais'
aaj to KHud par mujhe itni hansi aai ki bas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.