kyā ishq ke uljhe jaade haiñ manzil kā kahīñ par naam nahīñ
taqdīr hai aur tadbīr nahīñ āġhāz hai aur anjām nahīñ
ai ashk machaltī chingārī tū dard hai ḳhud paiġhām nahīñ
āñkhoñ meñ kabhī palkoñ pe kabhī tujh ko bhī kahīñ ārām nahīñ
dam bhar kī hañsī dam bhar kī ḳhushī ye bhī to dil-e-nākām nahīñ
is chaltī-phirtī duniyā meñ sab kuchh hai magar ārām nahīñ
ye pher mohabbat ke tauba ā.īn-e-jafā bhī aam nahīñ
qātil kī chhurī par ḳhuuñ to hai qātil pe magar ilzām nahīñ
qismat kī lakīreñ dekh to leñ tahrīr magar ye aam nahīñ
is ḳhat ko bhalā kyoñ kar samjheñ jis ḳhat meñ hamārā naam nahīñ
āñkhoñ ke gulābī Doroñ meñ ik kaif sā paayā jaatā hai
mai-ḳhvār-e-mohabbat hosh meñ aa saaqī kī nazar hai jaam nahīñ
duniyā ke bhare bāzāroñ meñ yuuñ suntā huuñ apnā afsāna
jaise ki ye merā zikr nahīñ jaise ki ye merā naam nahīñ
ye joshish-e-girya tanhā.ī ye pichhle pahar kā sannāTā
ashkoñ meñ mujhe kah lene do ye ḳhaas hai qissa aam nahīñ
nazroñ meñ tasādum dil meñ chubhan ik sham.a hai ik parvāna hai
donoñ hī meñ bāteñ hotī haiñ āvāz kā lekin naam nahīñ
bijlī kī chamak meñ sho.ale haiñ phūloñ kī hañsī meñ aañsū haiñ
ye 'fazl' vafā kī duniyā hai phir bhī to vafā kā naam nahīñ
kya ishq ke uljhe jade hain manzil ka kahin par nam nahin
taqdir hai aur tadbir nahin aaghaz hai aur anjam nahin
ai ashk machalti chingari tu dard hai KHud paigham nahin
aankhon mein kabhi palkon pe kabhi tujh ko bhi kahin aaram nahin
dam bhar ki hansi dam bhar ki KHushi ye bhi to dil-e-nakaam nahin
is chalti-phirti duniya mein sab kuchh hai magar aaram nahin
ye pher mohabbat ke tauba aain-e-jafa bhi aam nahin
qatil ki chhuri par KHun to hai qatil pe magar ilzam nahin
qismat ki lakiren dekh to len tahrir magar ye aam nahin
is KHat ko bhala kyon kar samjhen jis KHat mein hamara nam nahin
aankhon ke gulabi Doron mein ek kaif sa paya jata hai
mai-KHwar-e-mohabbat hosh mein aa saqi ki nazar hai jam nahin
duniya ke bhare bazaron mein yun sunta hun apna afsana
jaise ki ye mera zikr nahin jaise ki ye mera nam nahin
ye joshish-e-girya tanhai ye pichhle pahar ka sannaTa
ashkon mein mujhe kah lene do ye KHas hai qissa aam nahin
nazron mein tasadum dil mein chubhan ek shama hai ek parwana hai
donon hi mein baaten hoti hain aawaz ka lekin nam nahin
bijli ki chamak mein shoale hain phulon ki hansi mein aansu hain
ye 'fazl' wafa ki duniya hai phir bhi to wafa ka nam nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.